Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har nai rut mein naya hota hai manzar mera

Bashar Nawaz

har nai rut mein naya hota hai manzar mera

Bashar Nawaz

MORE BYBashar Nawaz

    har na.ī rut meñ nayā hotā hai manzar merā

    ek paikar meñ kahāñ qaid hai paikar merā

    maiñ kahāñ jā.ūñ ki pahchān sake koī mujhe

    ajnabī maan ke chaltā hai mujhe ghar merā

    jaise dushman nahīñ koī mirā apne sivā

    lauT aatā hai mirī samt patthar merā

    jo bhī aatā hai vahī dil meñ samā jaatā hai

    kitne dariyāoñ pyāsā hai samundar merā

    vo mahtāb takeñ raah ujāle terī

    maiñ vo sūraj ki añdherā hai muqaddar merā

    har nai rut mein naya hota hai manzar mera

    ek paikar mein kahan qaid hai paikar mera

    main kahan jaun ki pahchan sake koi mujhe

    ajnabi man ke chalta hai mujhe ghar mera

    jaise dushman hi nahin koi mera apne siwa

    lauT aata hai meri samt hi patthar mera

    jo bhi aata hai wahi dil mein sama jata hai

    kitne dariyaon ka pyasa hai samundar mera

    tu wo mahtab taken rah ujale teri

    main wo suraj ki andhera hai muqaddar mera

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 360)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now