aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har qadam sanpon ki aahaT aur main

Saleh Nadeem

har qadam sanpon ki aahaT aur main

Saleh Nadeem

MORE BYSaleh Nadeem

    har qadam sāñpoñ aahaT aur maiñ

    aage pīchhe sarsarāhaT aur maiñ

    ik taraf chaḌhte hue dariyā saañs

    ik taraf jangal aahaT aur maiñ

    gaañv pagDanDiyoñ se shahr tak

    chehra chehra baukhalāhaT aur maiñ

    ek chehra raushnī zehn meñ

    band kamra jagmagāhaT aur maiñ

    sard māthe par pasīne tapish

    sham' lau thartharāhaT aur maiñ

    ik adhūre ḳhvāb ta.abīr dekh

    ek piñjra phaḌphaḌāhaT aur maiñ

    Dhalte sūraj par hukūmat shaam

    aa.ine par malgajāhaT aur maiñ

    har qadam sanpon ki aahaT aur main

    aage pichhe sarsarahaT aur main

    ek taraf chaDhte hue dariya ki sans

    ek taraf jangal ki aahaT aur main

    ganw ki pagDanDiyon se shahr tak

    chehra chehra baukhalahaT aur main

    ek chehra raushni sa zehn mein

    band kamra jagmagahaT aur main

    sard mathe par pasine ki tapish

    sham' ki lau thartharahaT aur main

    ek adhure KHwab ki tabir dekh

    ek pinjra phaDphaDahaT aur main

    Dhalte suraj par hukumat sham ki

    aaine par malgajahaT aur main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now