har rag-e-gul baad-e-sarsar ke nishan Thahre hue
har rag-e-gul bād-e-sarsar ke nishāñ Thahre hue
haiñ kisī daa.im ḳhizāñ meñ gulsitāñ Thahre hue
ek tasvīr-e-tamāshā chal rahī hai raat din
aur ka.ī manzar haiñ āñkhoñ se nihāñ Thahre hue
gum hadīs-e-nafs hai harza-sarā.ī meñ kahīñ
aur bām-e-hosh haiñ vahm-o-gumāñ Thahre hue
ek sannāTe kī tah meñ sar paTaḳhtī hai sadā
chashma-e-lab par haiñ kyā sang-e-girāñ Thahre hue
roz-o-shab ke zā.ichoñ meñ hai muqayyad zindagī
aur haiñ vaqt-e-naz' meñ jism-o-jāñ Thahre hue
dil pe ab ilhām utarte haiñ 'azāboñ kī tarah
haiñ saroñ par kaise kaise āsmāñ Thahre hue
minnat-e-mā'nī nahīñ hai lazzat-e-be-iḳhtiyār
nahv-e-hairat meñ haiñ sab harf-o-bayāñ Thahre hue
jis ghaḌī us se mile the vo ghaḌī biitī nahīñ
ham to kab se haiñ vahīñ 'umr-e-ravāñ Thahre hue
raat din kartā huuñ maiñ ḳhūn-e-jigar se ehtimām
haiñ sarā.e-jāñ meñ mere mehmāñ Thahre hue
dil palaTtā hai kitāb-e-'umr ko kyoñ baar baar
sehr kyā haiñ dāstāñ-dar-dāstāñ Thahre hue
DhūñDte ho tum hameñ kyā roz-o-shab ke darmiyāñ
hai jahāñ kuchh aur hī ham haiñ jahāñ Thahre hue
har rag-e-gul baad-e-sarsar ke nishan Thahre hue
hain kisi daim KHizan mein gulsitan Thahre hue
ek taswir-e-tamasha chal rahi hai raat din
aur kai manzar hain aankhon se nihan Thahre hue
gum hadis-e-nafs hai harza-sarai mein kahin
aur baam-e-hosh hain wahm-o-guman Thahre hue
ek sannaTe ki tah mein sar paTaKHti hai sada
chashma-e-lab par hain kya sang-e-giran Thahre hue
roz-o-shab ke zaichon mein hai muqayyad zindagi
aur hain waqt-e-naz' mein jism-o-jaan Thahre hue
dil pe ab ilham utarte hain 'azabon ki tarah
hain saron par kaise kaise aasman Thahre hue
minnat-e-ma'ni nahin hai lazzat-e-be-iKHtiyar
nahw-e-hairat mein hain sab harf-o-bayan Thahre hue
jis ghaDi us se mile the wo ghaDi biti nahin
hum to kab se hain wahin 'umr-e-rawan Thahre hue
raat din karta hun main KHun-e-jigar se ehtimam
hain sarae-jaan mein mere mehman Thahre hue
dil palaTta hai kitab-e-'umr ko kyon bar bar
sehr kya hain dastan-dar-dastan Thahre hue
DhunDte ho tum hamein kya roz-o-shab ke darmiyan
hai jahan kuchh aur hi hum hain jahan Thahre hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.