har samt se jab TuT ke aate hain masaib

har samt se jab TuT ke aate hain masaib
Munawwar Tabish Sambhali
MORE BYMunawwar Tabish Sambhali
har samt se jab TuuT ke aate haiñ masā.ib
insān ko patthar kā banāte haiñ masā.ib
jiine ke bhī ādāb sikhāte haiñ masā.ib
be-vaj.h kahāñ ziist meñ aate haiñ masā.ib
jab paañv baḌhātā huuñ mohabbat ke safar meñ
sau rang zamāne ke dikhāte haiñ masā.ib
jiine kā salīqa jinheñ aatā hai jahāñ meñ
hañs hañs ke vahī bojh uThāte haiñ masā.ib
shāyad abhī kuchh aur muqaddar meñ likhā hai
rah rah ke tirī yaad dilāte haiñ masā.ib
dafnā diye alfāz masā.ib ne ġhazal meñ
jazbāt kā kab bojh uThāte haiñ masā.ib
ghabrā ke rah-e-zīst ko dushvār na karnā
aate haiñ masā.ib kabhī jaate haiñ masā.ib
har samt se jab TuT ke aate hain masaib
insan ko patthar ka banate hain masaib
jine ke bhi aadab sikhate hain masaib
be-wajh kahan zist mein aate hain masaib
jab panw baDhata hun mohabbat ke safar mein
sau rang zamane ke dikhate hain masaib
jine ka saliqa jinhen aata hai jahan mein
hans hans ke wahi bojh uThate hain masaib
shayad abhi kuchh aur muqaddar mein likha hai
rah rah ke teri yaad dilate hain masaib
dafna diye alfaz masaib ne ghazal mein
jazbaat ka kab bojh uThate hain masaib
ghabra ke rah-e-zist ko dushwar na karna
aate hain masaib kabhi jate hain masaib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.