har talluq bahaal rakkha hai
har ta'alluq bahāl rakkhā hai
ḳhud ko mushkil meñ Daal rakkhā hai
vo mirī dost bhī nahīñ hai dost
jis kā maiñ ne ḳhayāl rakkhā hai
jāmia ke clock tower par
apnā hijr-o-visāl rakkhā hai
āsmāñ khīñchtā hai apnī taraf
aur zamīñ ne uchhāl rakkhā hai
maiñ ne dil meñ tumheñ jagah dī hai
tum ne duniyā kā maal rakkhā hai
har ta'alluq bahaal rakkha hai
KHud ko mushkil mein Dal rakkha hai
wo meri dost bhi nahin hai dost
jis ka main ne KHayal rakkha hai
jamia ke clock tower par
apna hijr-o-visal rakkha hai
aasman khinchta hai apni taraf
aur zamin ne uchhaal rakkha hai
main ne dil mein tumhein jagah di hai
tum ne duniya ka mal rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.