har zaKHm yaad aata hai ek KHush-kalam ka
har zaḳhm yaad aatā hai ik ḳhush-kalām kā
miltā hai koī shaḳhs agar us ke naam kā
ab tak jatā rahe haiñ mohabbat usī se ham
rishta nahīñ hai jis se du'ā aur salām kā
ignore kar ke guzre haiñ ik dūsre ko ham
qissa hī khul na jaa.e kahīñ guzrī shaam kā
nafrat se ḳhud ko dekhā hai shīshe ke sāmne
ham ne ḳhayāl rakkhā hai dushman ke kaam kā
ik shāhzādī 'ishq meñ badnām ho ga.ī
us ko pasand aa gayā beTā ġhulām kā
har zaKHm yaad aata hai ek KHush-kalam ka
milta hai koi shaKHs agar us ke nam ka
ab tak jata rahe hain mohabbat usi se hum
rishta nahin hai jis se du'a aur salam ka
ignore kar ke guzre hain ek dusre ko hum
qissa hi khul na jae kahin guzri sham ka
nafrat se KHud ko dekha hai shishe ke samne
hum ne KHayal rakkha hai dushman ke kaam ka
ek shahzadi 'ishq mein badnam ho gai
us ko pasand aa gaya beTa ghulam ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.