har zarra aaine ka tahayyur ka jal tha
har zarra aa.ine kā tahayyur kā jaal thā
dekhā jidhar vahīñ koī 'aks-e-ġhazāl thā
shamshīr sā chamaktā falak par hilāl thā
kyā tīrgī kī fauj kā jāh-o-jalāl thā
kyā bāġh-e-dil meñ 'ālam-e-dīvāngī thā raat
har ek gul kā chāk-e-garebān laal thā
ashk aa.ine pe paḌte hī ā.īna ho ga.e
kyā shash-jihāt kaun-o-makāñ kā visāl thā
dīvān ke varaq na the ā.īne the 'mirāsh'
har bait kā nigār-kada be-misāl thā
har zarra aaine ka tahayyur ka jal tha
dekha jidhar wahin koi 'aks-e-ghazal tha
shamshir sa chamakta falak par hilal tha
kya tirgi ki fauj ka jah-o-jalal tha
kya bagh-e-dil mein 'alam-e-diwangi tha raat
har ek gul ka chaak-e-gareban lal tha
ashk aaine pe paDte hi aaina ho gae
kya shash-jihat kaun-o-makan ka visal tha
diwan ke waraq na the aaine the 'mirash'
har bait ka nigar-kada be-misal tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.