Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

harf-e-haq kaun kahe ab sar-e-darbar miyan

Ahmad Masood

harf-e-haq kaun kahe ab sar-e-darbar miyan

Ahmad Masood

MORE BYAhmad Masood

    harf-e-haq kaun kahe ab sar-e-darbār miyāñ

    sar jhukā.e haiñ khaḌe sab tire sardār miyāñ

    koī vardī na sanad hai use darkār miyāñ

    rahnumā merā ho bas sāhab-e-kirdār miyāñ

    kaise hotī hai sahar kis ko sahar kahte haiñ

    vahī jaane jo rahā raat meñ bedār miyāñ

    tum sahārā mujhe kyā doge kabhī mushkil meñ

    tum to ḳhud se bhī nazar aate ho bezār miyāñ

    haa.e kyā soch ke nikle the kabhī ghar se tum

    māñgte phirte ho ab sāya-e-dīvār miyāñ

    raushnī bhī nahīñ in meñ na hai ḳhushbū koī

    kyā kitābeñ tirī kyā haiñ tire ash.ār miyāñ

    ḳhuuñ kiyā dil ko liyā daaġh jigar par maiñ ne

    mujh se pūchho ki hai kyā ishq āzār miyāñ

    ġham na siine se lagā.e maiñ jahāñ se jaatā

    mujh ko duniyā meñ jo miltā koī ġham-ḳhvār miyāñ

    har taraf jalva-numā.ī thī usī 'mas.ūd'

    tum rahe phir bhī yahāñ tishna-e-dīdār miyāñ

    harf-e-haq kaun kahe ab sar-e-darbar miyan

    sar jhukae hain khaDe sab tere sardar miyan

    koi wardi na sanad hai use darkar miyan

    rahnuma mera ho bas sahab-e-kirdar miyan

    kaise hoti hai sahar kis ko sahar kahte hain

    wahi jaane jo raha raat mein bedar miyan

    tum sahaara mujhe kya doge kabhi mushkil mein

    tum to KHud se bhi nazar aate ho bezar miyan

    hae kya soch ke nikle the kabhi ghar se tum

    mangte phirte ho ab saya-e-diwar miyan

    raushni bhi nahin in mein na hai KHushbu koi

    kya kitaben teri kya hain tere ashaar miyan

    KHun kiya dil ko liya dagh jigar par main ne

    mujh se puchho ki hai kya ishq ka aazar miyan

    gham na sine se lagae main jahan se jata

    mujh ko duniya mein jo milta koi gham-KHwar miyan

    har taraf jalwa-numai thi usi ki 'masud'

    tum rahe phir bhi yahan tishna-e-didar miyan

    Source:

    اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 190)

      • Publisher: کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now