harf-e-jaan dil mein nihan harf-e-zaban shahr mein tha
harf-e-jāñ dil meñ nihāñ harf-e-zabāñ shahr meñ thā
aag kā naam na thā phir bhī dhuāñ shahr meñ thā
shor sahrā kā sunā shor samundar kā sunā
shor kā naam hī thā shor kahāñ shahr meñ thā
bas zarā 'aks hī ubhrā thā safoñ se merā
ek hangāma-e-kotāh-qadāñ shahr meñ thā
ātish o qatl nahīñ shor nahīñ chīḳh nahīñ
sirf aur sirf dhuāñ sirf dhuāñ shahr meñ thā
dekhnā aañkh ne kyā siikh liyā thā sāhib
ek do chiiz nahīñ saarā jahāñ shahr meñ thā
mustaqar kis ko banāte kahāñ rahte 'shahpar'
gaañv meñ thā to kabhī sarv-e-ravāñ shahr meñ thā
harf-e-jaan dil mein nihan harf-e-zaban shahr mein tha
aag ka nam na tha phir bhi dhuan shahr mein tha
shor sahra ka suna shor samundar ka suna
shor ka nam hi tha shor kahan shahr mein tha
bas zara 'aks hi ubhra tha safon se mera
ek hangama-e-kotah-qadan shahr mein tha
aatish o qatl nahin shor nahin chiKH nahin
sirf aur sirf dhuan sirf dhuan shahr mein tha
dekhna aankh ne kya sikh liya tha sahib
ek do chiz nahin sara jahan shahr mein tha
mustaqar kis ko banate kahan rahte 'shahpar'
ganw mein tha to kabhi sarw-e-rawan shahr mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.