Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

harf-o-alfaz-o-ma’ani ke hijabon mein na thi

Faza Ibn e Faizi

harf-o-alfaz-o-ma’ani ke hijabon mein na thi

Faza Ibn e Faizi

MORE BYFaza Ibn e Faizi

    harf-o-alfāz-o-ma’ānī ke hijāboñ meñ na thī

    baat chehroñ par jo likkhī thī kitāboñ meñ na thī

    'umr guzrī apne ghar bayābāñ chhānte

    dilkashī itnī to chamkīle sarāboñ meñ na thī

    maiñ thā apne 'ahd sachchā.iyoñ vo savāl

    jis ko rad karne gunjā.ish javāboñ meñ na thī

    ab huā mā'lūm tere shahr se hijrat ke baa'd

    kyā ḳharābī thī jo ham ḳhāna-ḳharāboñ meñ na thī

    uñgliyoñ ye jarāhat ye qalam ḳhastagī

    kab hamārī zindagī aise ‘azāboñ meñ na thī

    kar rahā huuñ kārobār-e-she'r meñ apne ko ḳharch

    varna aisī mad koī ghar ke hisāboñ meñ na thī

    ye bhī she’rī tajraboñ ik tasalsul hai 'fazā'

    ab ġhazal jaisī hai vo kitnoñ ke ḳhvāboñ meñ na thī

    harf-o-alfaz-o-ma’ani ke hijabon mein na thi

    baat chehron par jo likkhi thi kitabon mein na thi

    'umr guzri apne hi ghar ka bayaban chhante

    dilkashi itni to chamkile sarabon mein na thi

    main tha apne 'ahd ki sachchaiyon ka wo sawal

    jis ko rad karne ki gunjaish jawabon mein na thi

    ab hua ma'lum tere shahr se hijrat ke ba'd

    kya KHarabi thi jo hum KHana-KHarabon mein na thi

    ungliyon ki ye jarahat ye qalam ki KHastagi

    kab hamari zindagi aise ‘azabon mein na thi

    kar raha hun karobar-e-she'r mein apne ko KHarch

    warna aisi mad koi ghar ke hisabon mein na thi

    ye bhi she’ri tajrabon ka ek tasalsul hai 'faza'

    ab ghazal jaisi hai wo kitnon ke KHwabon mein na thi

    Source:

    Tahreek,New Delhi (Pg. 21)

      • Publisher: Gopal Mittal
      • Year of Publication: 1978
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now