harif mujh sa agar ho to kuchh KHasara nahin
harīf mujh sā agar ho to kuchh ḳhasāra nahīñ
jo ḳhud bhī jiit gayā aur koī haarā nahīñ
lahū meñ Doltī phirtī hai ab bhañvar kī tarah
vo ek lahr jise ham ne paar utārā nahīñ
magar ye baat batā.ūñ to kis tarah us ko
ki ḳhāmushī meñ tirī ab mirā guzāra nahīñ
junūñ ko apne parakhnā thā so parakh aa.e
ab aur kaam koī dasht meñ hamārā nahīñ
'ajīb nashsha-e-āvārgī hai sar pe savār
sukūñ bhī aaj hameñ der tak gavāra nahīñ
harif mujh sa agar ho to kuchh KHasara nahin
jo KHud bhi jit gaya aur koi haara nahin
lahu mein Dolti phirti hai ab bhanwar ki tarah
wo ek lahr jise hum ne par utara nahin
magar ye baat bataun to kis tarah us ko
ki KHamushi mein teri ab mera guzara nahin
junun ko apne parakhna tha so parakh aae
ab aur kaam koi dasht mein hamara nahin
'ajib nashsha-e-awargi hai sar pe sawar
sukun bhi aaj hamein der tak gawara nahin
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 60)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.