Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasti-e-fani ka matam kya karen

Priyamvada Ilhan

hasti-e-fani ka matam kya karen

Priyamvada Ilhan

MORE BYPriyamvada Ilhan

    hastī-e-fānī mātam kyā kareñ

    hañs ke bhī is ġham ko mub.ham kyā kareñ

    ban ke ḳhushbū zaat meñ tum bhar ga.e

    ḳhud ko ḳhud meñ is se bhī kam kyā kareñ

    us sab nādāniyāñ pyārī lageñ

    itnā pyārā hai vo hamdam kyā kareñ

    saañs larzan bhī sargam ho ga.ī

    āshiqī dhun ko maddham kyā kareñ

    fā.eda nuqsān sab tum gino

    ham to ab tum ho ga.e ġham kyā kareñ

    hasti-e-fani ka matam kya karen

    hans ke bhi is gham ko mubham kya karen

    ban ke KHushbu zat mein tum bhar gae

    KHud ko KHud mein is se bhi kam kya karen

    us ki sab nadaniyan pyari lagen

    itna pyara hai wo hamdam kya karen

    sans ki larzan bhi sargam ho gai

    aashiqi ki dhun ko maddham kya karen

    faeda nuqsan sab tum hi gino

    hum to ab tum ho gae gham kya karen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now