Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasti miTa kar apni jab ek bund sagar mein giri

Sada Ambalvi

hasti miTa kar apni jab ek bund sagar mein giri

Sada Ambalvi

MORE BYSada Ambalvi

    hastī miTā kar apnī jab ik buuñd sāgar meñ girī

    kuchh ne kahā ye vasl hai kuchh ne kahā ye ḳhud-kushī

    būñdeñ do barsīñ saath qismat par apnī apnī thī

    ik ain sāgar meñ girī ik ret meñ gum ho ga.ī

    sāgar kināre baiTh kar ham ne kiyā mahsūs ye

    sāgar huuñ maiñ sāgar huuñ maiñ har buuñd hai ye kah rahī

    hai kaun jo is raaz se ham ko karā.e āshnā

    sāgar hai būñdoñ se huā buuñd sāgar se huī

    ik diip lau se bhale lākhoñ jalāo diip tum

    ik til kisī bhī diip ghaTtī nahīñ hai raushnī

    daulat ajab hai ye baḌī baḌhtī hai jo bas baañT kar

    rahnā agar hai ḳhush tumheñ bāñTo sadā sab ko ḳhushī

    ab kyā batā.eñ ai 'sadā' kyā hai haqīqat kyā majāz

    parde meñ apnī ḳhalq ke ḳhāliq chhupā hai aap bhī

    hasti miTa kar apni jab ek bund sagar mein giri

    kuchh ne kaha ye wasl hai kuchh ne kaha ye KHud-kushi

    bunden do barsin sath hi qismat par apni apni thi

    ek ain sagar mein giri ek ret mein gum ho gai

    sagar kinare baiTh kar hum ne kiya mahsus ye

    sagar hun main sagar hun main har bund hai ye kah rahi

    hai kaun jo is raaz se hum ko karae aashna

    sagar hai bundon se hua ya bund sagar se hui

    ek dip ki lau se bhale lakhon jalao dip tum

    ek til kisi bhi dip ki ghaTti nahin hai raushni

    daulat ajab hai ye baDi baDhti hai jo bas banT kar

    rahna agar hai KHush tumhein banTo sada sab ko KHushi

    ab kya bataen ai 'sada' kya hai haqiqat kya majaz

    parde mein apni KHalq ke KHaliq chhupa hai aap bhi

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ghulam Abbas

    Ghulam Abbas

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now