hausle jab jawan hote hain
hausle jab javān hote haiñ
zer-e-pā āsmān hote haiñ
ye buzurgoñ kī shaan hote haiñ
ghar meñ jo pān-dān hote haiñ
vaqt ke saath jo bhī chalte haiñ
bas vahī kāmrān hote haiñ
tum ko tasdīq ġham kī karnī hai
ashk to be-zabān hote haiñ
bas riyā-kārī is meñ rahtī hai
ye jo ūñche makān hote haiñ
pur-sukūñ ham gharoñ meñ sote haiñ
sarhadoñ par javān hote haiñ
hausle jab jawan hote hain
zer-e-pa aasman hote hain
ye buzurgon ki shan hote hain
ghar mein jo pan-dan hote hain
waqt ke sath jo bhi chalte hain
bas wahi kaamran hote hain
tum ko tasdiq gham ki karni hai
ashk to be-zaban hote hain
bas riya-kari is mein rahti hai
ye jo unche makan hote hain
pur-sukun hum gharon mein sote hain
sarhadon par jawan hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.