hawa bahut tez chal rahi hai main KHud ko bhi tez kar raha hun

hawa bahut tez chal rahi hai main KHud ko bhi tez kar raha hun
Farhat Ehsas
MORE BYFarhat Ehsas
havā bahut tez chal rahī hai maiñ ḳhud ko bhī tez kar rahā huuñ
ki apne andar kī intihāoñ ko aur mahmez kar rahā huuñ
badan huuñ maiñ aur badan zamīñ hai zamīñ meñ kartā huuñ kāsht-kārī
jo mujh ko banjar diyā gayā thā maiñ us ko zarḳhez kar rahā huuñ
banā rahā huuñ tujhe vo kursī maiñ jis pe likhne ko baiThtā thā
tū mujh ko tasrīf de ki ḳhud ko tire liye mez kar rahā huuñ
tujhe pata bhī nahīñ chalegā ki merā majzūb ho gayā tū
maiñ terī miTTī ko apne paanī meñ yuuñ ham-āmez kar rahā huuñ
banā rahā huuñ maiñ 'farhat-ullāh-ḳhāñ' ke lafzoñ ko 'farhat-ehsās'
kahīñ ho ruumī koī to sun le ki ḳhud ko tabrez kar rahā huuñ
hawa bahut tez chal rahi hai main KHud ko bhi tez kar raha hun
ki apne andar ki intihaon ko aur mahmez kar raha hun
badan hun main aur badan zamin hai zamin mein karta hun kasht-kari
jo mujh ko banjar diya gaya tha main us ko zarKHez kar raha hun
bana raha hun tujhe wo kursi main jis pe likhne ko baiThta tha
tu mujh ko tasrif de ki KHud ko tere liye mez kar raha hun
tujhe pata bhi nahin chalega ki mera majzub ho gaya tu
main teri miTTi ko apne pani mein yun ham-amez kar raha hun
bana raha hun main 'farhat-ullah-KHan' ke lafzon ko 'farhat-ehsas'
kahin ho rumi koi to sun le ki KHud ko tabrez kar raha hun
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 79)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.