hawa ke Dar se diya bujhana haram hoga
havā ke Dar se diyā bujhānā harām hogā
siyāh rātoñ se haar jaanā harām hogā
mire paḌosī ke bachche bhūke haiñ tiin din se
mire liye ab halāl khānā harām hogā
pavitr shādī ke bandhanoñ meñ hai vo kisī ke
ab us kī jānib nazar uThānā harām hogā
ḳhudā ke bando ḳhudā kī ḳhātir ḳhudā ko DhūñDo
vagarna sajdoñ meñ sar jhukānā harām hogā
jo us ke man se nikal ga.e ho janāb-e-'āqib'
to us ke tan par bhī haq jatānā harām hogā
hawa ke Dar se diya bujhana haram hoga
siyah raaton se haar jaana haram hoga
mere paDosi ke bachche bhuke hain tin din se
mere liye ab halal khana haram hoga
pawitr shadi ke bandhanon mein hai wo kisi ke
ab us ki jaanib nazar uThana haram hoga
KHuda ke bando KHuda ki KHatir KHuda ko DhunDo
wagarna sajdon mein sar jhukana haram hoga
jo us ke man se nikal gae ho janab-e-'aqib'
to us ke tan par bhi haq jatana haram hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.