Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa ke hath mein yaadon ki jab pichkariyan hongi

Anjum Irfani

hawa ke hath mein yaadon ki jab pichkariyan hongi

Anjum Irfani

MORE BYAnjum Irfani

    havā ke haath meñ yādoñ jab pichkāriyāñ hoñgī

    bhaḌak uTTheñgī jo bhī raakh meñ chingāriyāñ hoñgī

    dar-o-dīvār ko ghar nahīñ kahte haiñ kyā jā.ūñ

    lachaktī shāḳh-e-gul hogī na hañstī kyāriyāñ hoñgī

    mire āñgan meñ barg-e-ḳhushk dālānoñ meñ sannāTe

    kushāda kamroñ meñ dīmak-zada almāriyāñ hoñgī

    idhar sach bolne ghar se koī dīvāna niklegā

    udhar maqtal meñ istiqbāl tayyāriyāñ hoñgī

    ham ahl-e-dil ke jo kuchh dil meñ hai lab par vahī bāteñ

    vo ahl-e-hosh haiñ un ke yahāñ ayyāriyāñ hoñgī

    hamārā kyā chale jā.eñge hañste shahr se tere

    hamāre baa'd dīvāroñ pe ḳhuuñ dhāriyāñ hoñgī

    saroñ se pur haiñ gaDDhe ḳhuun chhiḌkāv hai har-sū

    vo aa.eñ be-ḳhatar rāhoñ meñ ab hamvāriyāñ hoñgī

    maiñ shahr aayā baḌe shauq se lekin ḳhabar kyā thī

    yahāñ āñkheñ bichhā.e raah meñ be-kāriyāñ hoñgī

    vo uTThā kārvān-e-sub.h aamad shor 'anjum'

    sharīk-e-bazm-e-shab meñ kuuch tayyāriyāñ hoñgī

    hawa ke hath mein yaadon ki jab pichkariyan hongi

    bhaDak uTThengi jo bhi rakh mein chingariyan hongi

    dar-o-diwar ko hi ghar nahin kahte hain kya jaun

    lachakti shaKH-e-gul hogi na hansti kyariyan hongi

    mere aangan mein barg-e-KHushk dalanon mein sannaTe

    kushada kamron mein dimak-zada almariyan hongi

    idhar sach bolne ghar se koi diwana niklega

    udhar maqtal mein istiqbaal ki tayyariyan hongi

    hum ahl-e-dil ke jo kuchh dil mein hai lab par wahi baaten

    wo ahl-e-hosh hain un ke yahan ayyariyan hongi

    hamara kya chale jaenge hanste shahr se tere

    hamare ba'd diwaron pe KHun ki dhaariyan hongi

    saron se pur hain gaDDhe KHun ka chhiDkaw hai har-su

    wo aaen be-KHatar rahon mein ab hamwariyan hongi

    main shahr aaya baDe hi shauq se lekin KHabar kya thi

    yahan aankhen bichhae rah mein be-kariyan hongi

    wo uTTha karwan-e-subh ki aamad ka shor 'anjum'

    sharik-e-bazm-e-shab mein kuch ki tayyariyan hongi

    Source:

    Libas-e-zakhm (Pg. 39)

    • Author: Badruddin Ahmed Khan
      • Edition: 1984
      • Publisher: Anjum Irfani
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now