hawa ke narm lahje mein hari-bhari ghazal khili
havā ke narm lahje meñ harī-bharī ġhazal khilī
mahak rahī thī baaġh maiñ gulāb-rang zindagī
udaas peḌ muntazir khaḌā thā ghar ke sahn meñ
utar rahī thī sīḌhiyoñ se chāñdnī bahār kī
kitāb-e-dil meñ kis ke ḳhadd-o-ḳhāl jagmagā.e the
dhaḌak rahī thī har varaq pe dīda-zeb raushnī
chahak rahā thā ik parinda dil ke ban meñ shaam se
milan ke giit gā rahī thī duur gaañv meñ nadī
khile hue the pīpaloñ ke rang is bahār meñ
kueñ pe un dinoñ basantī qahqahoñ kī guuñj thī
koī hasīñ savār kyā huā thā us maqām se
vo rail phir yahāñ kisī ke vāste nahīñ rukī
charāġh aur bhī jale hue the us qatār meñ
mirī nazar meñ jal rahā thā ik charāġh-e-āḳhirī
tamām shahr chaudhvīñ kī raat mahv-e-ḳhvāb thā
vo be-qarār jhiil mere saath jāgtī rahī
hawa ke narm lahje mein hari-bhari ghazal khili
mahak rahi thi bagh main gulab-rang zindagi
udas peD muntazir khaDa tha ghar ke sahn mein
utar rahi thi siDhiyon se chandni bahaar ki
kitab-e-dil mein kis ke KHadd-o-KHal jagmagae the
dhaDak rahi thi har waraq pe dida-zeb raushni
chahak raha tha ek parinda dil ke ban mein sham se
milan ke git ga rahi thi dur ganw mein nadi
khile hue the pipalon ke rang is bahaar mein
kuen pe un dinon basanti qahqahon ki gunj thi
koi hasin sawar kya hua tha us maqam se
wo rail phir yahan kisi ke waste nahin ruki
charagh aur bhi jale hue the us qatar mein
meri nazar mein jal raha tha ek charagh-e-aKHiri
tamam shahr chaudhwin ki raat mahw-e-KHwab tha
wo be-qarar jhil mere sath jagti rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.