Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa kuchh apne sawal tahrir dekhti hai

Kishwar Naheed

hawa kuchh apne sawal tahrir dekhti hai

Kishwar Naheed

MORE BYKishwar Naheed

    havā kuchh apne savāl tahrīr dekhtī hai

    ki bādaloñ ko bhī misl-e-zanjīr dekhtī hai

    mujhe bulātā hai phir vahī shahr-e-nā-murādī

    ki aarzū ābloñ meñ tasvīr dekhtī hai

    jo kashtiyoñ meñ na baiTh paa.e vo ghar na pahuñche

    safar tā.īd shām-e-taqsīr dekhtī hai

    bahut dinoñ meñ sitam ke dariyā zor TuuTā

    sarisht-e-shab bhī barahna ta.azīr dekhtī hai

    samundaroñ uruuj phir ret ban gayā hai

    shahāb-e-sāqib meñ raat tafsīr dekhtī hai

    havā chalī thī pa shahr-e-jāñ ke the dar muqaffal

    ye aañkh apne ḳhvāb tāḳhīr dekhtī hai

    subū liye tishnagī khaḌī thī ye jāntī thī

    ki jāñ-faroshoñ ko qaus-e-shamshīr dekhtī hai

    niyābat-e-shahr un ke hāthoñ meñ ab na hogī

    kamān-dāroñ ko shab zanjīr dekhtī hai

    hawa kuchh apne sawal tahrir dekhti hai

    ki baadalon ko bhi misl-e-zanjir dekhti hai

    mujhe bulata hai phir wahi shahr-e-na-muradi

    ki aarzu aablon mein taswir dekhti hai

    jo kashtiyon mein na baiTh pae wo ghar na pahunche

    safar ki taid sham-e-taqsir dekhti hai

    bahut dinon mein sitam ke dariya ka zor TuTa

    sarisht-e-shab bhi barahna tazir dekhti hai

    samundaron ka uruj phir ret ban gaya hai

    shahab-e-saqib mein raat tafsir dekhti hai

    hawa chali thi pa shahr-e-jaan ke the dar muqaffal

    ye aankh apne hi KHwab taKHir dekhti hai

    subu liye tishnagi khaDi thi ye jaanti thi

    ki jaan-faroshon ko qaus-e-shamshir dekhti hai

    niyabat-e-shahr un ke hathon mein ab na hogi

    kaman-daron ko shab ki zanjir dekhti hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Kishwar Naheed

    Kishwar Naheed

    RECITATIONS

    Kishwar Naheed

    Kishwar Naheed,

    Kishwar Naheed

    hawa kuchh apne sawal tahrir dekhti hai Kishwar Naheed

    Source:

    kulliyat dusht-e-qais main laila (Pg. 983)

    • Author: Kishwar Nahiid
      • Edition: 2001
      • Publisher: Sang-e-mail publication lahore
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now