Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa mein jo ye ek namnaki hai

Rafiq Raaz

hawa mein jo ye ek namnaki hai

Rafiq Raaz

MORE BYRafiq Raaz

    havā meñ jo ye ek namnākī hai

    sadā tez raftār dariyā hai

    qadam rok mat pīchhe muḌ ke na dekh

    ye āvāz kam-baḳht duniyā hai

    makāñ to mirā lā-makāñ ho gayā

    shikāyat magar tañgi-e-jā hai

    bhaḌaktā hai shola rañg-e-sukūt

    qalandar ke lahje meñ be-bākī hai

    paḌā rah badan ke darīche na khol

    mirī uñgliyoñ meñ havasnākī hai

    shajar se lipaT kar na ro.egī ye

    havā jo chalī hai vo sahrā hai

    mire shīsha-e-lā-zamāñ par abhī

    bahut gard imroz o fardā hai

    chamak aañkh meñ hairatoñ nahīñ

    bas ik dhuup tāb-e-tamāshā hai

    hawa mein jo ye ek namnaki hai

    sada tez raftar dariya ki hai

    qadam rok mat pichhe muD ke na dekh

    ye aawaz kam-baKHt duniya ki hai

    makan to mera la-makan ho gaya

    shikayat magar tangi-e-ja ki hai

    bhaDakta hai shola sa rang-e-sukut

    qalandar ke lahje mein be-baki hai

    paDa rah badan ke dariche na khol

    meri ungliyon mein hawasnaki hai

    shajar se lipaT kar na roegi ye

    hawa jo chali hai wo sahra ki hai

    mere shisha-e-la-zaman par abhi

    bahut gard imroz o farda ki hai

    chamak aankh mein hairaton ki nahin

    bas ek dhup tab-e-tamasha ki hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now