Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa se rabt zara soch kar banana tha

Babar Ali Asad

hawa se rabt zara soch kar banana tha

Babar Ali Asad

MORE BYBabar Ali Asad

    havā se rabt zarā soch kar banānā thā

    hameñ zamīñ pe utarnā thā ghar banānā thā

    ḳhushī banānī thī pahle kisī ta.alluq

    phir is ḳhushī ko bachāne Dar banānā thā

    hamārī aañkh ko ab tak samajh nahīñ aa.ī

    ki pahle ashk pahle kohar banānā thā

    are ye ishq bhī to manchale saudā hai

    hamāre bas meñ jo hotā kidhar banānā thā

    havā to roz sunātī thī dhuup rauzan se

    magar hameñ yahāñ sūraj dar banānā thā

    suno ye aib kisī rañg se nahīñ chhupne

    bas ek hal thā hameñ toḌ kar banānā thā

    muaaf karnā tujhe khul ke likh nahīñ paa.e

    hameñ ye qissa zarā muḳhtasar banānā thā

    hawa se rabt zara soch kar banana tha

    hamein zamin pe utarna tha ghar banana tha

    KHushi banani thi pahle kisi talluq ki

    phir is KHushi ko bachane ka Dar banana tha

    hamari aankh ko ab tak samajh nahin aai

    ki pahle ashk ya pahle kohar banana tha

    are ye ishq bhi to manchale ka sauda hai

    hamare bas mein jo hota kidhar banana tha

    hawa to roz sunati thi dhup rauzan se

    magar hamein yahan suraj sa dar banana tha

    suno ye aib kisi rang se nahin chhupne

    bas ek hal tha hamein toD kar banana tha

    muaf karna tujhe khul ke likh nahin pae

    hamein ye qissa zara muKHtasar banana tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now