Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hayat-o-kaenat par kitab likh rahe the hum

Aziz Nabeel

hayat-o-kaenat par kitab likh rahe the hum

Aziz Nabeel

MORE BYAziz Nabeel

    hayāt-o-kā.enāt par kitāb likh rahe the ham

    jahāñ jahāñ savāb thā azaab likh rahe the ham

    hamārī tishnagī ġham raqam thā mauj mauj par

    samundaroñ ke jism par sarāb likh rahe the ham

    savāl thā ki justujū aziim hai ki aarzū

    so yuuñ huā ki umr bhar javāb likh rahe the ham

    sulagte dasht, ret aur babūl the har ek

    nagar nagar, galī galī gulāb likh rahe the ham

    zamīn ruk ke chal paḌī, charāġh bujh ke jal ga.e

    ki jab adhūre ḳhvāboñ hisāb likh rahe the ham

    mujhe batānā zindagī vo kaun ghaḌī thī jab

    ḳhud apne apne vāste azaab likh rahe the ham

    chamak uThā har ek pal, mahak uThe qalam davāt

    kisī ke naam dil intisāb likh rahe the ham

    hayat-o-kaenat par kitab likh rahe the hum

    jahan jahan sawab tha azab likh rahe the hum

    hamari tishnagi ka gham raqam tha mauj mauj par

    samundaron ke jism par sarab likh rahe the hum

    sawal tha ki justuju azim hai ki aarzu

    so yun hua ki umr bhar jawab likh rahe the hum

    sulagte dasht, ret aur babul the har ek su

    nagar nagar, gali gali gulab likh rahe the hum

    zamin ruk ke chal paDi, charagh bujh ke jal gae

    ki jab adhure KHwabon ka hisab likh rahe the hum

    mujhe batana zindagi wo kaun si ghaDi thi jab

    KHud apne apne waste azab likh rahe the hum

    chamak uTha har ek pal, mahak uThe qalam dawat

    kisi ke nam dil ka intisab likh rahe the hum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now