hazar kaam meri zindagi mein chhoD gaya
hazār kaam mirī zindagī meñ chhoḌ gayā
ki dil bhī saath mirā be-dilī meñ chhoḌ gayā
yahāñ to sirf makāñ haiñ makīñ koī bhī nahīñ
na jaane kaun mujhe is galī meñ chhoḌ gayā
ghaḌī vo chhoḌ gayā hai ki us ko 'ujlat thī
vo apnā vaqt bhī lekin ghaḌī meñ chhoḌ gayā
maiñ kaun huuñ use kaise pata chalā āḳhir
jo raat añdherā mujhe raushnī meñ chhoḌ gayā
na ghar banāyā abhī tak na ghar basāyā hai
sabhī ko pīchhe vo āvārgī meñ chhoḌ gayā
maiñ sust-rau bhī nahīñ huuñ shikasta-pā bhī nahīñ
vo qāfila mujhe begāngī meñ chhoḌ gayā
'ajīb shaḳhs thā ‘kāshif-husain-ġhā.ir’ bhī
ki ġham meñ saath rahā aur ḳhushī meñ chhoḌ gayā
hazar kaam meri zindagi mein chhoD gaya
ki dil bhi sath mera be-dili mein chhoD gaya
yahan to sirf makan hain makin koi bhi nahin
na jaane kaun mujhe is gali mein chhoD gaya
ghaDi wo chhoD gaya hai ki us ko 'ujlat thi
wo apna waqt bhi lekin ghaDi mein chhoD gaya
main kaun hun use kaise pata chala aaKHir
jo raat andhera mujhe raushni mein chhoD gaya
na ghar banaya abhi tak na ghar basaya hai
sabhi ko pichhe wo aawargi mein chhoD gaya
main sust-rau bhi nahin hun shikasta-pa bhi nahin
wo qafila mujhe begangi mein chhoD gaya
'ajib shaKHs tha ‘kashif-husain-ghair’ bhi
ki gham mein sath raha aur KHushi mein chhoD gaya
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 107)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.