Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hazrat-e-dil ye ishq hai dard se kasmasae kyun

Bekhud Dehlvi

hazrat-e-dil ye ishq hai dard se kasmasae kyun

Bekhud Dehlvi

MORE BYBekhud Dehlvi

    hazrat-e-dil ye ishq hai dard se kasmasā.e kyuuñ

    maut abhī se aa.e kyuuñ jaan abhī se jaa.e kyuuñ

    ishq rutba hai baḌā ishq ḳhudā se milā

    aap ne kyā samajh liyā aap ye muskurā.e kyuuñ

    merā ġhalat gila sahī zulm-o-jafā ravā sahī

    nāz-e-sitam bajā sahī aañkh koī churā.e kyuuñ

    tujh se ziyāda nāznīñ is meñ hazāroñ haiñ hasīñ

    dil hai ye ā.īna nahīñ sāmne tere aa.e kyuuñ

    āshiq-e-nā-murād ko is razā pe chhoḌ do

    is agar ḳhushī na ho ġham se najāt paa.e kyuuñ

    hausla-e-sitam baḌhe teġh-o-sināñ dam baḌhe

    ek tīr-e-nāz meñ kījiye haa.e haa.e kyuuñ

    'ġhālib'-e-ḳhush-bayāñ kahāñ 'beḳhud'-e-ḳhasta-jāñ kahāñ

    tab.a imtihāñ kahāñ shaad mujhe satā.e kyuuñ

    hazrat-e-dil ye ishq hai dard se kasmasae kyun

    maut abhi se aae kyun jaan abhi se jae kyun

    ishq ka rutba hai baDa ishq KHuda se ja mila

    aap ne kya samajh liya aap ye muskurae kyun

    mera ghalat gila sahi zulm-o-jafa rawa sahi

    naz-e-sitam baja sahi aankh koi churae kyun

    tujh se ziyaada naznin is mein hazaron hain hasin

    dil hai ye aaina nahin samne tere aae kyun

    aashiq-e-na-murad ko is ki raza pe chhoD do

    is ki agar KHushi na ho gham se najat pae kyun

    hausla-e-sitam baDhe tegh-o-sinan ka dam baDhe

    ek hi tir-e-naz mein kijiye hae hae kyun

    'ghaalib'-e-KHush-bayan kahan 'beKHud'-e-KHasta-jaan kahan

    taba ka imtihan kahan shad mujhe satae kyun

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 61)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now