Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hazrat-e-ishq idhar kije karam ya mabud

Insha Allah Khan Insha

hazrat-e-ishq idhar kije karam ya mabud

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    hazrat-e-ishq idhar kiije karam ma.abūd

    bāl-gopāl haiñ yaañ aap ke ham ma.abūd

    banda-ḳhāna meñ ajī lā.iye tashrīf-e-sharīf

    aa ke rakh diije in ā.ankhoñ pe qadam ma.abūd

    nafī isbāt shāġhil jo qalandar haiñ so vo

    apnī gardan ko nahīñ karte haiñ ḳham ma.abūd

    apne daatā haqīqat ke haiñ jalva tum meñ

    lam.a-e-nūr-e-tajallī qasam ma.abūd

    jald phaTkāriye sabze ke nashe ko koḌā

    khīñchiye aur koī sulfe dam ma.abūd

    aap aap haiñ vo aap ne sach farmāyā

    yuuñ bhī kuchh dhoke se the naam ko ham ma.abūd

    varna ye āriyatan hai jo vajūd apnā so

    guzarāñ vo to hai juuñ mauja-e-yam ma.abūd

    vāqa.ī bolne se apne laḌā baiThe jo aañkh

    kyuuñ ḳhudī se na kare pher vo rum ma.abūd

    aañkh ko kahte arab ain haiñ so ain agar

    dam par aa jaa.e to ho ain-e-adam ma.abūd

    raat tiryāk nasha ne to ulaT Daalā vaah

    koī gholā to vo thā kāsa-e-sam ma.abūd

    sidra tak aan to pahuñchā huuñ dilī qasd hai ye

    ki baḌhūñ aur bhī do-chār qadam ma.abūd

    chaar zaanū ho ab 'inshā' bhī zamīñ se ūñchā

    yak va jab rahne lagā saada dam ma.abūd

    hazrat-e-ishq idhar kije karam ya mabud

    baal-gopal hain yan aap ke hum ya mabud

    banda-KHana mein aji laiye tashrif-e-sharif

    aa ke rakh dije in aaankhon pe qadam ya mabud

    nafi isbaat ki shaghil jo qalandar hain so wo

    apni gardan ko nahin karte hain KHam ya mabud

    apne data ki haqiqat ke hain jalwa tum mein

    lama-e-nur-e-tajalli ki qasam ya mabud

    jald phaTkariye sabze ke nashe ko koDa

    khinchiye aur koi sulfe ka dam ya mabud

    aap hi aap hain wo aap ne sach farmaya

    yun bhi kuchh dhoke se the nam ko hum ya mabud

    warna ye aariyatan hai jo wajud apna so

    guzaran wo to hai jun mauja-e-yam ya mabud

    waqai bolne se apne laDa baiThe jo aankh

    kyun KHudi se na kare pher wo rum ya mabud

    aankh ko kahte arab ain hain so ain agar

    dam par aa jae to ho ain-e-adam ya mabud

    raat tiryak nasha ne to ulaT Dala wah

    koi ghola to wo tha kasa-e-sam ya mabud

    sidra tak aan to pahuncha hun dili qasd hai ye

    ki baDhun aur bhi do-chaar qadam ya mabud

    chaar zanu ho ab 'insha' bhi zamin se uncha

    yak wa jab rahne laga sada ki dam ya mabud

    Source:

    Kulliyat-e-inshaallah khan insha (Pg. 46)

    • Author: Insha Allah Khan Insha
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1876
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now