hazrat-e-munsif koi ilham to batlaiye
hazrat-e-munsif koī ilhām to batlā.iye
faisla farmā diyā ilzām to batlā.iye
aap hī munsif yahāñ par aap hī haiñ mudda.ī
ḳhair jo bhī hai mirā anjām to batlā.iye
aap ke nazdīk gar ahd-e-vafā ik khel hai
kyā milegā jiit kar in.aam to batlā.iye
hashr rāñjhe kā bayāñ karte haiñ sāhab aap kyoñ
koī ham sā hai agar nākām to batlā.iye
baad muddat mil rahe haiñ aaj apne aap se
bhuul baiThe haiñ hamārā naam to batlā.iye
ishq ke bāzār meñ haiñ tājiroñ ke sarbarāh
ham ko bhī koī munāsib daam to batlā.iye
chaak dil ke dard saare jo bhulā de bin piye
aap kī āñkhoñ meñ hai vo jaam to batlā.iye
kal talak nazreñ churā.e phir rahe the aap to
aaj hañs kar mil raheñ haiñ kaam to batlā.iye
ḳhat meñ sab kuchh thā magar jo thā zarūrī rah gayā
aa.e un kā phir kabhī paiġhām to batlā.iye
vo nazāre vo bahāreñ ḳhushbuoñ meñ tar fazā
aap ko bhī yaad hai vo shaam to batlā.iye
fursatoñ ke pal meñ pyāre ishq kar ke dekhnā
phir mayassar ho kabhī ārām to batlā.iye
sāhab-e-mai-kash hai bāda-ḳhvār hai vo nā-murād
aap haiñ 'sādiq' se bhī badnām to batlā.iye
hazrat-e-munsif koi ilham to batlaiye
faisla farma diya ilzam to batlaiye
aap hi munsif yahan par aap hi hain muddai
KHair jo bhi hai mera anjam to batlaiye
aap ke nazdik gar ahd-e-wafa ek khel hai
kya milega jit kar inam to batlaiye
hashr ranjhe ka bayan karte hain sahab aap kyon
koi hum sa hai agar nakaam to batlaiye
baad muddat mil rahe hain aaj apne aap se
bhul baiThe hain hamara nam to batlaiye
ishq ke bazar mein hain tajiron ke sarbarah
hum ko bhi koi munasib dam to batlaiye
chaak dil ke dard sare jo bhula de bin piye
aap ki aankhon mein hai wo jam to batlaiye
kal talak nazren churae phir rahe the aap to
aaj hans kar mil rahen hain kaam to batlaiye
KHat mein sab kuchh tha magar jo tha zaruri rah gaya
aae un ka phir kabhi paigham to batlaiye
wo nazare wo bahaaren KHushbuon mein tar faza
aap ko bhi yaad hai wo sham to batlaiye
fursaton ke pal mein pyare ishq kar ke dekhna
phir mayassar ho kabhi aaram to batlaiye
sahab-e-mai-kash hai baada-KHwar hai wo na-murad
aap hain 'sadiq' se bhi badnam to batlaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.