hijr barbaad kar gaya hai mujhe
hijr barbād kar gayā hai mujhe
ab kahīñ jā ke tū milā hai mujhe
ek andhe ne manziloñ se kahā
koī raste se dekhtā hai mujhe
dard kā chehra dekh saktā huuñ
ye mirā zaḳhm aa.ina hai mujhe
aate jaate mujhe hī dekhte haiñ
kaise logoñ se vāsta hai mujhe
maiñ hamesha hī bhuul jaatā huuñ
yaad us ne sadā rakhā hai mujhe
maiñ bhī vāqif huuñ shahr vāloñ se
shahr bhī ḳhuub jāntā hai mujhe
ik galī mujh meñ dasht jaisī hai
ye mirī aañkh aabla hai mujhe
manzileñ bichh ga.iiñ mire aage
vaqt hasrat se dekhtā hai mujhe
baat itnā asar nahīñ kartī
baat kā lahja kāTtā hai mujhe
rāh-e-tārīk ko pata hai 'ḳhizar'
kuchh charāġhoñ kā aasrā hai mujhe
hijr barbaad kar gaya hai mujhe
ab kahin ja ke tu mila hai mujhe
ek andhe ne manzilon se kaha
koi raste se dekhta hai mujhe
dard ka chehra dekh sakta hun
ye mera zaKHm aaina hai mujhe
aate jate mujhe hi dekhte hain
kaise logon se wasta hai mujhe
main hamesha hi bhul jata hun
yaad us ne sada rakha hai mujhe
main bhi waqif hun shahr walon se
shahr bhi KHub jaanta hai mujhe
ek gali mujh mein dasht jaisi hai
ye meri aankh aabla hai mujhe
manzilen bichh gain mere aage
waqt hasrat se dekhta hai mujhe
baat itna asar nahin karti
baat ka lahja kaTta hai mujhe
rah-e-tarik ko pata hai 'KHizar'
kuchh charaghon ka aasra hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.