hijr bhi kam na hua jis ka bhulane ke baad
hijr bhī kam na huā jis kā bhulāne ke baa'd
milne aayā hai vahī shaḳhs zamāne ke baa'd
zinda rahte to yaqīñ kar na sakā mujh par vo
us ko aayā bhī yaqīñ zahr ko khāne ke baa'd
vo mujhe chhoḌ ke bhī ḳhush na huā lagtā hai
ab kisī aur pe nazreñ haiñ fulāne ke baa'd
us ne chhoḌī na kamī koī sitam karne meñ
rahm aayā na kabhī us ko satāne ke baa'd
mujh se har chiiz samajh lo ke ḳhafā baiThī hai
kuchh bhī hāsil na huā us ko gañvāne ke baa'd
aap kyā DhūñDhne aa.e haiñ mirī duniyā meñ
kuchh nahīñ bachtā kabhī ghar ko jalāne ke baa'd
ahmiyat kaun samajhtā hai kabhī hone par
tū bhī samjhegā yaqīnan mire jaane ke baa'd
hijr bhi kam na hua jis ka bhulane ke ba'd
milne aaya hai wahi shaKHs zamane ke ba'd
zinda rahte to yaqin kar na saka mujh par wo
us ko aaya bhi yaqin zahr ko khane ke ba'd
wo mujhe chhoD ke bhi KHush na hua lagta hai
ab kisi aur pe nazren hain fulane ke ba'd
us ne chhoDi na kami koi sitam karne mein
rahm aaya na kabhi us ko satane ke ba'd
mujh se har chiz samajh lo ke KHafa baiThi hai
kuchh bhi hasil na hua us ko ganwane ke ba'd
aap kya DhunDhne aae hain meri duniya mein
kuchh nahin bachta kabhi ghar ko jalane ke ba'd
ahmiyat kaun samajhta hai kabhi hone par
tu bhi samjhega yaqinan mere jaane ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.