hijr ke honTon pe aandhi ki dua bhi aae hai
hijr ke hoñToñ pe āñdhī kī duā bhī aa.e hai
shāḳh TuuTe hai to phir panchhī bahut pachhtā.e hai
mast sahrā kī havā.eñ bandisheñ sab chāk-chāk
dil kisī be-nām duniyā ke tarāne gaa.e hai
barf se Dhakne lagī haiñ sab pahāḌī choTiyāñ
apne hī āġhosh meñ māhaul sahmā jaa.e hai
kyā ajab barham fazā hai fasl-e-gul jaane ko hai
har shajar par ek dhānī dard sā lahrā.e hai
lā-ta.alluq huuñ maiñ in kaalī sadāoñ se magar
karb se shīrāza-e-ehsās bikhrā jaa.e hai
ai 'niyāz' ab kyā likhūñ andhe safar ke baab meñ
gar kisī daldal se niklūñ to samandar aa.e hai
hijr ke honTon pe aandhi ki dua bhi aae hai
shaKH TuTe hai to phir panchhi bahut pachhtae hai
mast sahra ki hawaen bandishen sab chaak-chaak
dil kisi be-nam duniya ke tarane gae hai
barf se Dhakne lagi hain sab pahaDi choTiyan
apne hi aaghosh mein mahaul sahma jae hai
kya ajab barham faza hai fasl-e-gul jaane ko hai
har shajar par ek dhani dard sa lahrae hai
la-talluq hun main in kali sadaon se magar
karb se shiraaza-e-ehsas bikhra jae hai
ai 'niyaz' ab kya likhun andhe safar ke bab mein
gar kisi daldal se niklun to samandar aae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.