hijr ke ranj-o-alam apni jagah
hijr ke ranj-o-alam apnī jagah
aap ke qaul-o-qasam apnī jagah
aap ne ḳhud hī kinārā kar liyā
ham rahe sābit-qadam apnī jagah
bante bante rāsta bantā gayā
zindagī ke pech-o-ḳham apnī jagah
dhaḌkanoñ kī phir sadā aane lagī
yā'nī dil hai kam se kam apnī jagah
dhīre dhīre us meñ Dhal jā.eñge ham
ḳhud banā letā hai ġham apnī jagah
ho ga.ī badnām 'mariyam' ḳhair se
aap to haiñ mohtaram apnī jagah
hijr ke ranj-o-alam apni jagah
aap ke qaul-o-qasam apni jagah
aap ne KHud hi kinara kar liya
hum rahe sabit-qadam apni jagah
bante bante rasta banta gaya
zindagi ke pech-o-KHam apni jagah
dhaDkanon ki phir sada aane lagi
ya'ni dil hai kam se kam apni jagah
dhire dhire us mein Dhal jaenge hum
KHud bana leta hai gham apni jagah
ho gai badnam 'mariyam' KHair se
aap to hain mohtaram apni jagah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.