jao qarar-e-be-dilan sham-ba-KHair shab-ba-KHair
Interesting Fact
Dedicated to his ex-wife Zahida Hina
jaao qarār-e-be-dilāñ shām-ba-ḳhair shab-ba-ḳhair
sahn huā dhuāñ dhuāñ shām-ba-ḳhair shab-ba-ḳhair
shām-e-visāl hai qarīb sub.h-e-kamāl hai qarīb
phir na raheñge sargirāñ shām-ba-ḳhair shab-ba-ḳhair
vajd karegī zindagī jism-ba-jism jāñ-ba-jāñ
jism-ba-jism jāñ-ba-jāñ shām-ba-ḳhair shab-ba-ḳhair
ai mire shauq kī umañg mere shabāb kī tarañg
tujh pe shafaq kā sā.ebāñ shām-ba-ḳhair shab-ba-ḳhair
tū mirī shā.erī meñ hai rañg-e-tarāz o gul-fishāñ
terī bahār be-ḳhizāñ shām-ba-ḳhair shab-ba-ḳhair
terā ḳhayāl ḳhvāb ḳhvāb ḳhalvat-e-jāñ kī āb-o-tāb
jism-e-jamīl-e-o-naujavāñ shām-ba-ḳhair shab-ba-ḳhair
hai mirā nām-e-arjumand terā hisār-e-sar-buland
bāno-e-shahr-e-jism-o-jāñ shām-ba-ḳhair shab-ba-ḳhair
diid se jān-e-dīd tak dil se ruḳh-e-umīd tak
koī nahīñ hai darmiyāñ shām-ba-ḳhair shab-ba-ḳhair
ho ga.ī der jaao tum mujh ko gale lagāo tum
tū mirī jaañ hai merī jaañ shām-ba-ḳhair shab-ba-ḳhair
shām-ba-ḳhair shab-ba-ḳhair mauj-e-shamīm-e-pairahan
terī mahak rahegī yaañ shām-ba-ḳhair shab-ba-ḳhair
jao qarar-e-be-dilan sham-ba-KHair shab-ba-KHair
sahn hua dhuan dhuan sham-ba-KHair shab-ba-KHair
sham-e-visal hai qarib subh-e-kamal hai qarib
phir na rahenge sargiran sham-ba-KHair shab-ba-KHair
wajd karegi zindagi jism-ba-jism jaan-ba-jaan
jism-ba-jism jaan-ba-jaan sham-ba-KHair shab-ba-KHair
ai mere shauq ki umang mere shabab ki tarang
tujh pe shafaq ka saeban sham-ba-KHair shab-ba-KHair
tu meri shaeri mein hai rang-e-taraaz o gul-fishan
teri bahaar be-KHizan sham-ba-KHair shab-ba-KHair
tera KHayal KHwab KHwab KHalwat-e-jaan ki aab-o-tab
jism-e-jamil-e-o-naujawan sham-ba-KHair shab-ba-KHair
hai mera nam-e-arjumand tera hisar-e-sar-buland
bano-e-shahr-e-jism-o-jaan sham-ba-KHair shab-ba-KHair
did se jaan-e-did tak dil se ruKH-e-umid tak
koi nahin hai darmiyan sham-ba-KHair shab-ba-KHair
ho gai der jao tum mujh ko gale lagao tum
tu meri jaan hai meri jaan sham-ba-KHair shab-ba-KHair
sham-ba-KHair shab-ba-KHair mauj-e-shamim-e-pairahan
teri mahak rahegi yan sham-ba-KHair shab-ba-KHair
- Book : shaayed (Pg. 144)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.