hijrat ki baat aae bhi kaise guman mein

hijrat ki baat aae bhi kaise guman mein
Munawwar Tabish Sambhali
MORE BYMunawwar Tabish Sambhali
hijrat kī baat aa.e bhī kaise gumān meñ
ajdād mere dafn haiñ hindostān meñ
sachchā.iyāñ thiiñ jitnī kafan-posh ho ga.iiñ
munsif ne rang vo bharā jhūTe bayān meñ
us se bhī mere zarf kā tū imtihān le
baaqī jo ek tiir hai terī kamān meñ
phir se tumhārī yaad ke jugnū chamak uThe
phir se ujālā ho gayā dil ke makān meñ
ḳhuddār sar thā jism se jo ho gayā judā
lekin jhukā na zill-e-ilāhī kī shaan meñ
baḳhshā hai jo ḳhulūs se ahbāb ne mujhe
aisā kahāñ hai dard kisī dāstān meñ
phūloñ ke badle ḳhaar mileñge bahār se
'tābish' ye baat kab thī hamāre gumān meñ
hijrat ki baat aae bhi kaise guman mein
ajdad mere dafn hain hindostan mein
sachchaiyan thin jitni kafan-posh ho gain
munsif ne rang wo bhara jhuTe bayan mein
us se bhi mere zarf ka tu imtihan le
baqi jo ek tir hai teri kaman mein
phir se tumhaari yaad ke jugnu chamak uThe
phir se ujala ho gaya dil ke makan mein
KHuddar sar tha jism se jo ho gaya juda
lekin jhuka na zill-e-ilahi ki shan mein
baKHsha hai jo KHulus se ahbab ne mujhe
aisa kahan hai dard kisi dastan mein
phulon ke badle KHar milenge bahaar se
'tabish' ye baat kab thi hamare guman mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.