Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hikayat-e-lab-o-ruKHsar se aage nahin jate

Qateel Shifai

hikayat-e-lab-o-ruKHsar se aage nahin jate

Qateel Shifai

MORE BYQateel Shifai

    hikāyāt-e-lab-o-ruḳhsār se aage nahīñ jaate

    vo naġhme jo tumhāre pyaar se aage nahīñ jaate

    kamandeñ Dālne aa.e the jo bām-e-surayyā par

    vahī ab sāya-e-dīvār se aage nahīñ jaate

    gadā-e-zāt kyā jāneñ navā-e-kā.enāt ai dil

    ye vo mansūr haiñ jo daar se aage nahīñ jaate

    baḌī himmat dikhā.eñge to sāhil chhoḌ jā.egā

    hamāre nāḳhudā mañjdhār se aage nahīñ jaate

    ajab ahl-e-samā.at haiñ jo zanjīroñ se ghabrā kar

    tirī pāzeb jhankār se aage nahīñ jaate

    murattab jin ko apnī ābla-pā.ī nahīñ kartī

    vo afsāne gul-o-gulzār se aage nahīñ jaate

    hikayat-e-lab-o-ruKHsar se aage nahin jate

    wo naghme jo tumhaare pyar se aage nahin jate

    kamanden Dalne aae the jo baam-e-surayya par

    wahi ab saya-e-diwar se aage nahin jate

    gada-e-zat kya jaanen nawa-e-kaenat ai dil

    ye wo mansur hain jo dar se aage nahin jate

    baDi himmat dikhaenge to sahil chhoD jaega

    hamare naKHuda manjdhaar se aage nahin jate

    ajab ahl-e-samaat hain jo zanjiron se ghabra kar

    teri pazeb ki jhankar se aage nahin jate

    murattab jin ko apni aabla-pai nahin karti

    wo afsane gul-o-gulzar se aage nahin jate

    Source :
    • Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 242)
    • Author : Qateel Shifai
    • Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
    • Edition : 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now