Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hisar-e-shahr mila dasht ka maza na mila

Shaz Tamkanat

hisar-e-shahr mila dasht ka maza na mila

Shaz Tamkanat

MORE BYShaz Tamkanat

    hisār-e-shahr milā dasht maza na milā

    junūñ ke daur meñ bhī koī mashġhala na milā

    ab us gulāb ne kāñTe ik chubhan bhī na

    milā zarūr vo mujh se magar ḳhafā na milā

    na tere qad koī bahr-e-ḳhush-ḳhirām milī

    ġhazal zikr kyā koī qāfiya na milā

    jo bas chale to vo simTā le har numū-e-badan

    hayā se apnī koī yuuñ thakā huā na milā

    bhañvar chīḳh bulātī rahī magar ai 'shāz'

    añdherī raat thī maujoñ naqsh-e-pā na milā

    hisar-e-shahr mila dasht ka maza na mila

    junun ke daur mein bhi koi mashghala na mila

    ab us gulab ne kanTe ki ek chubhan bhi na di

    mila zarur wo mujh se magar KHafa na mila

    na tere qad ki koi bahr-e-KHush-KHiram mili

    ghazal ka zikr hi kya koi qafiya na mila

    jo bas chale to wo simTa le har numu-e-badan

    haya se apni koi yun thaka hua na mila

    bhanwar ki chiKH bulati rahi magar ai 'shaz'

    andheri raat thi maujon ka naqsh-e-pa na mila

    Source:

    Kulliyat-e-Shaz Tamkanat (Pg. 518)

    • Author: Shaz Tamkanat
      • Edition: 2004
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now