hisar-e-zat mein koi simaT gaya to kya hua
hisār-e-zāt meñ koī simaT gayā to kyā huā
tamām kā.enāt se vo kaT gayā to kyā huā
bahut se tishna-kām-e-shauq surḳh-rū to ho ga.e
hamārā ḳhuun dostoñ meñ baT gayā to kyā huā
abhī to moḌ moḌ par pahāḌ hī pahāḌ haiñ
vo ek sang rāste se haT gayā to kyā huā
diloñ meñ iḳhtilāf kī ḳhalīj aur baḌh ga.ī
ba-zor-e-teġh mas.ala nipaT gayā to kyā huā
ġhubār nafratoñ kā to diloñ meñ hai bharā huā
fazā se abr-e-kusht-o-ḳhūn chhaT gayā to kyā huā
zabāñ kā paas lāzmī ḳhudā-parast ke liye
zabāñ se bul-havas koī palaT gayā to kyā huā
nazar-navāz ḳhil'ateñ to zindagī ko mil ga.iiñ
libās-e-gard-gard ek phaT gayā to kyā huā
hazāroñ sarfarosh haiñ kafan-badosh to abhī
sar-e-'azīz-baghravī’ jo kaT gayā to kyā huā
hisar-e-zat mein koi simaT gaya to kya hua
tamam kaenat se wo kaT gaya to kya hua
bahut se tishna-kaam-e-shauq surKH-ru to ho gae
hamara KHun doston mein baT gaya to kya hua
abhi to moD moD par pahaD hi pahaD hain
wo ek sang raste se haT gaya to kya hua
dilon mein iKHtilaf ki KHalij aur baDh gai
ba-zor-e-tegh masala nipaT gaya to kya hua
ghubar nafraton ka to dilon mein hai bhara hua
faza se abr-e-kusht-o-KHun chhaT gaya to kya hua
zaban ka pas lazmi KHuda-parast ke liye
zaban se bul-hawas koi palaT gaya to kya hua
nazar-nawaz KHil'aten to zindagi ko mil gain
libas-e-gard-gard ek phaT gaya to kya hua
hazaron sarfarosh hain kafan-badosh to abhi
sar-e-'aziz-baghrawi’ jo kaT gaya to kya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.