ho aae ek bar to jata hai bar bar
ho aa.e ek baar to jaatā hai baar baar
ḳhum-ḳhāna aadmī ko bulātā hai baar baar
ye aur baat hai ki koī dekhtā nahīñ
ham-zād aa.ina to dikhātā hai baar baar
vo zaat jo ra.ūf-o-rahīm-o-karīm hai
vā'iz hameñ usī se Darātā hai baar baar
kam-zarf mezbān kī dā'vat nahīñ qubūl
thoḌī bahut pilā ke jatānā hai baar baar
duurī hai mustaqil na rifāqat hai mustaqil
vo dil ujāḌtā hai basātā hai baar baar
bād-e-sabā pukār ke aage chalī ga.ī
so.e hue ko kaun jagātā hai baar baar
parvardigār use agar aanā nahīñ kabhī
us kā ḳhayāl kyoñ hameñ aatā hai baar baar
azbar hai apnī rām-kahānī 'sha'ūr' ko
ek ek vāqi'a vo sunātā hai baar baar
ho aae ek bar to jata hai bar bar
KHum-KHana aadmi ko bulata hai bar bar
ye aur baat hai ki koi dekhta nahin
ham-zad aaina to dikhata hai bar bar
wo zat jo rauf-o-rahim-o-karim hai
wa'iz hamein usi se Daraata hai bar bar
kam-zarf mezban ki da'wat nahin qubul
thoDi bahut pila ke jatana hai bar bar
duri hai mustaqil na rifaqat hai mustaqil
wo dil ujaDta hai basata hai bar bar
baad-e-saba pukar ke aage chali gai
soe hue ko kaun jagata hai bar bar
parwardigar use agar aana nahin kabhi
us ka KHayal kyon hamein aata hai bar bar
azbar hai apni ram-kahani 'sha'ur' ko
ek ek waqi'a wo sunata hai bar bar
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 120)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.