Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ho gae muztar dekhte hi wo hilti zulfen phirti nazar hum

Ahmad Husain Mail

ho gae muztar dekhte hi wo hilti zulfen phirti nazar hum

Ahmad Husain Mail

MORE BYAhmad Husain Mail

    ho ga.e muztar dekhte vo hiltī zulfeñ phirtī nazar ham

    dete haiñ dil ik āfat-e-jāñ ko thāme hue hāthoñ se jigar ham

    ġhair ko gar vo pyaar kareñge apne lahū meñ hoñge tar ham

    Daal deñge un ke qadam par kaaT kar apne haath se sar ham

    sulh huī to naale khīñche yuuñ karte haiñ sab ko ḳhabar ham

    pīTte haiñ siine DhiñDhorā dete haiñ dil bār-e-digar ham

    aur mileñge chhoḌ na deñge sun ke sadā-e-murġh-e-sahar ham

    halqa donoñ haath apne Daal rakheñge gird-e-kamar ham

    dil ke andar tuur ke uupar chashm-e-sanam meñ ain haram meñ

    terī sūrat terī mūrat pūjne jaa.eñ tujh ko kidhar ham

    raaz chhupte to āġhāz achchhā bhed khule to anjām achchhā

    misl-e-sikandar bhes badal kar jaate haiñ ban kar nāma-bar ham

    andāza go kar chuke haiñ aa jaatī hai muTThī meñ ye

    aaj magar be-parda kareñge dekheñge patlī kamar ham

    laate kuchh rañg-e-javānī aañkh se yuuñ kiiñ aañkh ne bāteñ

    aao dikhā.eñ sab ko ghāteñ sho.abda-gar tum jādūgar ham

    kahtī haiñ zulfeñ mushkīñ kas leñ koī jo Daale haath kamar meñ

    phail ke so.o Dar kyā tum ko gasht kareñge gird-e-kamar ham

    lutf baḌā ho aur mazā ho is ke 'evaz gar aap ko paa.eñ

    baiTh ke apne ghar ke andar DhūñDh rahe haiñ yaar ghar ham

    tum ko nazākat aur ḳhudā de ham ko lazzat aur ḳhudā de

    pā.eñche tum chuTkī se uThā lo thāme hue chalte haiñ kamar ham

    uThtā joban jhuktī gardan dabtī bāteñ ruktī ghāteñ

    haa.e na kyuuñ sau jaañ se fidā hoñ in chāroñ par uTh phir ham

    saaya ban kar saath chaleñge saath phireñge saath raheñge

    apne ghar meñ ġhair ke dil meñ jaao jidhar tum aa.eñ udhar ham

    jald tum uTTho dauḌ ke aao ham ko thāmo ham ko sambhālo

    girte haiñ misl-e-ashk zamīñ par uThte haiñ shakl-e-dard-e-jigar ham

    sab se chhuḌā kar laa.e uḌā kar kyā na rakheñge dil meñ chhupā kar

    rahne basne chalne phirne tum ko ḳhudā deñge ghar ham

    muñh jo khulegā rañj baḌhegā ham se na bolo ham ko na chheḌo

    kāhīda-tan āzurda-jān āshufta-dil ḳhasta-jigar ham

    ye to chhapar-khaT chhoTā hai pahlū meñ tum so.oge kyūñkar

    aao liTā leñ siine par ham tum ko sulā leñ chhātī par ham

    rañj gar aayā ho to bhulā de pyaar baḌhā de ham se milā de

    un nigah se to gir to chuke haiñ jaa.eñ na yārab dil se utar ham

    dekh ke un joban ubhrā maiñ ne kahā ye maal hai achchhā

    bole vo kyā tum luuT loge god meñ yuuñ aa jaa.eñ agar ham

    Thahrī hai bāham lutf baazī pahle jo paa.e jiit usī

    vasl shab hai DhūñDh rahe haiñ dil vo hamārā un kamar ham

    roz na.e dil laa.eñ kahāñ se aise tohfe paa.eñ kahāñ se

    chaaT paḌī hai tum ko diloñ lūTne jaa.eñ kis ghar ham

    ġhair ke bar meñ un ko dekhā ḳhaak meñ jaa.e aisā nazāra

    haath meñ kam-baḳht aa nahīñ saktā toḌte varna tār-e-nazar ham

    nashv-o-numā paa.ī hai deccan meñ qadr hamārī kyūñkar hogī

    ghar murġhī daal barābar kis ko dikhā.eñ apnā hunar ham

    kyuuñ na kare dīvāna kisī ko sharm 'ādat husn shoḳhī

    ho ga.e 'mā.il' dekh ke maa.il uThtā joban jhuktī nazar ham

    ho gae muztar dekhte hi wo hilti zulfen phirti nazar hum

    dete hain dil ek aafat-e-jaan ko thame hue hathon se jigar hum

    ghair ko gar wo pyar karenge apne lahu mein honge tar hum

    Dal hi denge un ke qadam par kaT kar apne hath se sar hum

    sulh hui to nale khinche yun karte hain sab ko KHabar hum

    piTte hain sine ka DhinDhora dete hain dil bar-e-digar hum

    aur milenge chhoD na denge sun ke sada-e-murgh-e-sahar hum

    halqa donon hath ka apne Dal rakhenge gird-e-kamar hum

    dil ke andar tur ke upar chashm-e-sanam mein ain haram mein

    teri hi surat teri hi murat pujne jaen tujh ko kidhar hum

    raaz chhupte to aaghaz achchha bhed khule to anjam achchha

    misl-e-sikandar bhes badal kar jate hain ban kar nama-bar hum

    andaza go kar hi chuke hain aa jati hai muTThi mein ye

    aaj magar be-parda karenge dekhenge patli si kamar hum

    late hi kuchh rang-e-jawani aankh se yun kin aankh ne baaten

    aao dikhaen sab ko ghaten shoabda-gar tum jadugar hum

    kahti hain zulfen mushkin kas len koi jo Dale hath kamar mein

    phail ke soo Dar kya tum ko gasht karenge gird-e-kamar hum

    lutf baDa ho aur maza ho is ke 'ewaz gar aap ko paen

    baiTh ke apne ghar ke andar DhunDh rahe hain yar ka ghar hum

    tum ko nazakat aur KHuda de hum ko lazzat aur KHuda de

    paenche tum chuTki se uTha lo thame hue chalte hain kamar hum

    uThta joban jhukti gardan dabti baaten rukti ghaten

    hae na kyun sau jaan se fida hon in chaaron par uTh phir hum

    saya ban kar sath chalenge sath phirenge sath rahenge

    apne ghar mein ghair ke dil mein jao jidhar tum aaen udhar hum

    jald tum uTTho dauD ke aao hum ko thamo hum ko sambhaalo

    girte hain misl-e-ashk zamin par uThte hain shakl-e-dard-e-jigar hum

    sab se chhuDa kar lae uDa kar kya na rakhenge dil mein chhupa kar

    rahne basne chalne phirne tum ko KHuda ka denge ghar hum

    munh jo khulega ranj baDhega hum se na bolo hum ko na chheDo

    kahida-tan aazurda-jaan aashufta-dil KHasta-jigar hum

    ye to chhapar-khaT chhoTa sa hai pahlu mein tum sooge kyunkar

    aao liTa len sine par hum tum ko sula len chhati par hum

    ranj gar aaya ho to bhula de pyar baDha de hum se mila de

    un ki nigah se to gir to chuke hain jaen na yarab dil se utar hum

    dekh ke un ka joban ubhra main ne kaha ye mal hai achchha

    bole wo kya tum luT hi loge god mein yun aa jaen agar hum

    Thahri hai baham lutf ki bazi pahle jo pae jit usi ki

    wasl ki shab hai DhunDh rahe hain dil wo hamara un ki kamar hum

    roz nae dil laen kahan se aise tohfe paen kahan se

    chaT paDi hai tum ko dilon ki luTne jaen kis ka ghar hum

    ghair ke bar mein un ko dekha KHak mein jae aisa nazara

    hath mein kam-baKHt aa nahin sakta toDte warna tar-e-nazar hum

    nashw-o-numa pai hai deccan mein qadr hamari kyunkar hogi

    ghar ki murghi dal barabar kis ko dikhaen apna hunar hum

    kyun na kare diwana kisi ko sharm ki 'adat husn ki shoKHi

    ho gae 'mail' dekh ke mail uThta joban jhukti nazar hum

    Source:

    Deewan-e-Dr.Maiel(Tohfa-e-Dakan) (Pg. 120)

    • Author: Ahmad Husain Mail
      • Edition: 1897
      • Publisher: Matba Mufeed-e-Aam, Agra
      • Year of Publication: 1897
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now