Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ho jate hain jab apne marizon se KHafa aur

Urooj Qadri

ho jate hain jab apne marizon se KHafa aur

Urooj Qadri

MORE BYUrooj Qadri

    ho jaate haiñ jab apne marīzoñ se ḳhafā aur

    karte haiñ vo ījād sitam aur jafā aur

    ai zulm sarāpā kabhī is par bhī nazar kar

    kyā merā ḳhudā aur hai terā hai ḳhudā aur

    mushkil hai batānā ki hai kyā farq magar hai

    lailā adā aur hai majnūñ adā aur

    taslīm ki duniyā meñ hai jail bhī lekin

    andar fazā aur hai bāhar fazā aur

    kahtā hai ye qaidī ki havā ek nahīñ hai

    bāhar havā aur hai andar havā aur

    momin ke liye jail hai duniyā-e-dunī bhī

    duniyā fazā aur hai uqbā fazā aur

    bīmār-e-masarrat davā aish lazzat

    bīmār-e-mohabbat maraz aur davā aur

    allāh kare tujh ko tire nuur se āgāh

    mahfil diyā aur tire dil diyā aur

    anjām-e-mohabbat se uruuj apne hai vāqif

    tā-zīst hai qismat meñ jafā aur balā aur

    ho jate hain jab apne marizon se KHafa aur

    karte hain wo ijad sitam aur jafa aur

    ai zulm sarapa kabhi is par bhi nazar kar

    kya mera KHuda aur hai tera hai KHuda aur

    mushkil hai batana ki hai kya farq magar hai

    laila ki ada aur hai majnun ki ada aur

    taslim ki duniya hi mein hai jail bhi lekin

    andar ki faza aur hai bahar ki faza aur

    kahta hai ye qaidi ki hawa ek nahin hai

    bahar ki hawa aur hai andar ki hawa aur

    momin ke liye jail hai duniya-e-duni bhi

    duniya ki faza aur hai uqba ki faza aur

    bimar-e-masarrat ki dawa aish ki lazzat

    bimar-e-mohabbat ka maraz aur dawa aur

    allah kare tujh ko tere nur se aagah

    mahfil ka diya aur tere dil ka diya aur

    anjam-e-mohabbat se uruj apne hai waqif

    ta-zist hai qismat mein jafa aur bala aur

    Source:

    Tohfa-e-Zindan (Pg. 25)

    • Author: Urooj Qadri
      • Publisher: Markazi Maktaba Islami Publishers, New Delhi
      • Year of Publication: 1978
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now