Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hone lage hain raste raste, aapas ke Takraw bahut

Qaisar Shameem

hone lage hain raste raste, aapas ke Takraw bahut

Qaisar Shameem

MORE BYQaisar Shameem

    hone lage haiñ raste raste, aapas ke Takrāv bahut

    ek saath ke chalne vāloñ meñ bhī hai algāv bahut

    bahke bahke se bādal haiñ kyā jaane ye jaa.eñ kidhar

    badlī huī havāoñ hai un par aaj dabāv bahut

    soch hai ye pher ki yaaro pech-o-ḳham duniyā meñ

    DhūñD rahe ho aisā rasta jis meñ nahīñ ghumāv bahut

    apne-āp meñ uljhī huī ik duniyā hai har shaḳhs yahāñ

    suljhe hue zehnoñ meñ bhī haiñ chhupe hue uljhāv bahut

    mere ahd ke insānoñ ko paḌh lenā koī khel nahīñ

    uupar se hai mel-mohabbat, andar se hai khiñchāv bahut

    hone lage hain raste raste, aapas ke Takraw bahut

    ek sath ke chalne walon mein bhi hai algaw bahut

    bahke bahke se baadal hain kya jaane ye jaen kidhar

    badli hui hawaon ka hai un par aaj dabaw bahut

    soch ka hai ye pher ki yaro pech-o-KHam ki duniya mein

    DhunD rahe ho aisa rasta jis mein nahin ghumaw bahut

    apne-ap mein uljhi hui ek duniya hai har shaKHs yahan

    suljhe hue zehnon mein bhi hain chhupe hue uljhaw bahut

    mere ahd ke insanon ko paDh lena koi khel nahin

    upar se hai mel-mohabbat, andar se hai khinchaw bahut

    Source:

    (Beesvin Sadi Main) Maghrabi Bengal Ke urdu Shora (Pg. 246)

    • Author: Mushtaq ahmed M.A
      • Edition: 1972
      • Publisher: Iqbal Ahmad And Baradars Sayed Suleh Len Kolkata
      • Year of Publication: 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now