Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hone lagti hai dil-o-jaan mein jalan raat Dhale

Sohan Rahi

hone lagti hai dil-o-jaan mein jalan raat Dhale

Sohan Rahi

MORE BYSohan Rahi

    hone lagtī hai dil-o-jāñ meñ jalan raat Dhale

    jab bhī lau dete haiñ ḳhvāboñ ke badan raat Dhale

    hañstī kaliyoñ ne to siñgār kiyā thā lekin

    jal bujhā kyuuñ tire va.adoñ chaman raat Dhale

    nuur hai dīda-e-dil meñ to zarā ġhaur se dekh

    zaḳhm ke chāñd ko lagtā hai gahan raat Dhale

    chāñdnī raat ke tābūt meñ rakh de us ko

    dil ne pahnā hai añdheroñ kafan raat Dhale

    Dhaltī jaatī hai nigāhoñ ke piyāloñ meñ sharāb

    jab bhī do jismoñ hotā hai milan raat Dhale

    gungunā uThtā hai tanhā.ī kañgan raahī

    jāgtī hai jūñhī yādoñ dulhan raat Dhale

    hone lagti hai dil-o-jaan mein jalan raat Dhale

    jab bhi lau dete hain KHwabon ke badan raat Dhale

    hansti kaliyon ne to singar kiya tha lekin

    jal bujha kyun tere wadon ka chaman raat Dhale

    nur hai dida-e-dil mein to zara ghaur se dekh

    zaKHm ke chand ko lagta hai gahan raat Dhale

    chandni raat ke tabut mein rakh de us ko

    dil ne pahna hai andheron ka kafan raat Dhale

    Dhalti jati hai nigahon ke piyalon mein sharab

    jab bhi do jismon ka hota hai milan raat Dhale

    gunguna uThta hai tanhai ka kangan rahi

    jagti hai junhi yaadon ki dulhan raat Dhale

    Source:

    Zakhm Ghunghat Dhoop (Pg. 75)

    • Author: Sohan Rahi
      • Edition: 1998
      • Publisher: Educational Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now