honge wo koi aur jo ghabraate hain gham se
hoñge vo koī aur jo ghabrāte haiñ ġham se
ham khelte rahte haiñ inhīñ ranj-o-alam se
kahte haiñ sabhī log mujhe un kā divāna
zinda hai mirā naam faqat un ke hī dam se
baiThā huuñ dar-e-yār pe dil meñ hai yaqīñ ye
ik din vo navāzeñge mujhe apne karam se
aañsū na bahātā mirī hālat pe vo aa kar
ulfat na agar kartā maiñ patthar ke sanam se
kuchh aise maiñ taḌpā thā shab-e-hijr meñ 'mūsā'
rote the mire haal pe taare bhī qasam se
honge wo koi aur jo ghabraate hain gham se
hum khelte rahte hain inhin ranj-o-alam se
kahte hain sabhi log mujhe un ka diwana
zinda hai mera nam faqat un ke hi dam se
baiTha hun dar-e-yar pe dil mein hai yaqin ye
ek din wo nawazenge mujhe apne karam se
aansu na bahata meri haalat pe wo aa kar
ulfat na agar karta main patthar ke sanam se
kuchh aise main taDpa tha shab-e-hijr mein 'musa'
rote the mere haal pe tare bhi qasam se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.