Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hosh mein aaun to sochun abhi dekha kya hai

Ehsan Akbar

hosh mein aaun to sochun abhi dekha kya hai

Ehsan Akbar

MORE BYEhsan Akbar

    hosh meñ aa.uuñ to sochūñ abhī dekhā kyā hai

    phir ye pūchhūñ ki ye pardā hai to jalva kyā hai

    donoñ āñkhoñ meñ hai ik jalva to do āñkheñ kyuuñ

    putliyoñ ye tamāshā vagar na kyā hai

    to ne pahchān liye apnī ḳhudā.ī ke nuqūsh

    ā.īna jis ne ta.āruf ye karāyā kyā hai

    zindagī-bhar paḌhī taqdīr ḳhufiya tahrīr

    lauh-e-marqad se paḌhūñ aage likkhā kyā hai

    maiñ huuñ taḳhlīq tirī soz ham-ma.anī huuñ

    hai ma.anī to tirā lafz se rishta kyā hai

    har-nafas peT īñdhan hai yahāñ par ai fan

    hai jo hāsil tirā duniyā to duniyā kyā hai

    hosh mein aaun to sochun abhi dekha kya hai

    phir ye puchhun ki ye parda hai to jalwa kya hai

    donon aankhon mein hai ek jalwa to do aankhen kyun

    putliyon ka ye tamasha sa wagar na kya hai

    to ne pahchan liye apni KHudai ke nuqush

    aaina jis ne taaruf ye karaya kya hai

    zindagi-bhar paDhi taqdir ki KHufiya tahrir

    lauh-e-marqad se paDhun aage ka likkha kya hai

    main hun taKHliq teri soz ka ham-mani hun

    tu hai mani to tera lafz se rishta kya hai

    har-nafas peT ka indhan hai yahan par ai fan

    hai jo hasil tera duniya hi to duniya kya hai

    Source:

    Dariche (Pg. 34)

    • Author: Bashir Saifi
      • Edition: 1975
      • Publisher: Shakhsar Publishers
      • Year of Publication: 1975
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now