hue KHush hum ek nigar se hue shad uski bahaar se

hue KHush hum ek nigar se hue shad uski bahaar se
Nazeer Akbarabadi
MORE BYNazeer Akbarabadi
hue ḳhush ham ek nigār se hue shaad us kī bahār se
kabhī shaan se kabhī aan se kabhī naaz se kabhī pyaar se
huī pairahan se bhī ḳhush-dilī kalī dil kī aur bahut khilī
kabhī turre se kabhī gajre se kabhī baddhī se kabhī haar se
vo kanārī in meñ jo thī guñdhī use dekh kar bhī huī ḳhushī
kabhī nuur se kabhī lahar se kabhī taab se kabhī taar se
ga.e us ke saath chaman meñ ham to guloñ ko dekh ke ḳhush hue
kabhī sarv se kabhī nahr se kabhī barg se kabhī baar se
vo 'nazīr' se to milā kiyā magar apnī vaz.a neñ is tarah
kabhī jald se kabhī der se kabhī lutf se kabhī aar se
hue KHush hum ek nigar se hue shad us ki bahaar se
kabhi shan se kabhi aan se kabhi naz se kabhi pyar se
hui pairahan se bhi KHush-dili kali dil ki aur bahut khili
kabhi turre se kabhi gajre se kabhi baddhi se kabhi haar se
wo kanari in mein jo thi gundhi use dekh kar bhi hui KHushi
kabhi nur se kabhi lahar se kabhi tab se kabhi tar se
gae us ke sath chaman mein hum to gulon ko dekh ke KHush hue
kabhi sarw se kabhi nahr se kabhi barg se kabhi bar se
wo 'nazir' se to mila kiya magar apni waza nen is tarah
kabhi jald se kabhi der se kabhi lutf se kabhi aar se
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.