hui jo sham to suraj ka haal kaisa tha
huī jo shaam to sūraj kā haal kaisā thā
'urūj kaisā thā us kā zavāl kaisā thā
chhaTā hai jab to zamīñ par lahū ke chhīñTe haiñ
fazā meñ uḌtā huā vo gulāl kaisā thā
ghire the aise ki phir jiite jī nikal na sake
hamāre gird tamannā kā jaal kaisā thā
bichhaḌ ke us se badan sard paḌ gayā hai kyoñ
vo paas thā to lahū meñ ubaal kaisā thā
vo mujh se baat to hañs hañs ke kar rahā thā magar
ḳhushī ke rang meñ rang-e-malāl kaisā thā
hui jo sham to suraj ka haal kaisa tha
'uruj kaisa tha us ka zawal kaisa tha
chhaTa hai jab to zamin par lahu ke chhinTe hain
faza mein uDta hua wo gulal kaisa tha
ghire the aise ki phir jite ji nikal na sake
hamare gird tamanna ka jal kaisa tha
bichhaD ke us se badan sard paD gaya hai kyon
wo pas tha to lahu mein ubaal kaisa tha
wo mujh se baat to hans hans ke kar raha tha magar
KHushi ke rang mein rang-e-malal kaisa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.