hujum-e-girya ne ek KHamushi musallat ki
hujūm-e-girya ne ik ḳhāmushī musallat kī
fazā meñ ghulne lagī raushnī 'ibādat kī
ye kaisā mā'raka hai dard kī tanāboñ se
ye kis ke haath pe āḳhir havā ne bai'at kī
kisī ke harf-e-tamannā kī intihā huuñ maiñ
kisī ke harf-e-du'ā ne mirī hifāzat kī
maiñ apnī zaat meñ kis kis ko DhūñDne niklā
ye kaisā kaam kiyā jaane kyā himāqat kī
ye shahr roz talab kartā hai mujhe is taur
ki zindagī bhī koī chiiz ho zarūrat kī
hujum-e-girya ne ek KHamushi musallat ki
faza mein ghulne lagi raushni 'ibaadat ki
ye kaisa ma'raka hai dard ki tanabon se
ye kis ke hath pe aaKHir hawa ne bai'at ki
kisi ke harf-e-tamanna ki intiha hun main
kisi ke harf-e-du'a ne meri hifazat ki
main apni zat mein kis kis ko DhunDne nikla
ye kaisa kaam kiya jaane kya himaqat ki
ye shahr roz talab karta hai mujhe is taur
ki zindagi bhi koi chiz ho zarurat ki
- Book : Ishq (Pg. 122)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.