husn aisa hai ki tafsil bhi kam paD jae
husn aisā hai ki tafsīl bhī kam paḌ jaa.e
chāñd kā 'aks bane jhiil bhī kam paḌ jaa.e
muḳhtasar 'umr magar ḳhvāhisheñ itnī haiñ ki bas
‘amr 'ayyār kī zambīl bhī kam paḌ jaa.e
maiñ jo lag jā.ūñ sunāne tujhe pardes ke dukh
saal do saal kī tā'tīl bhī kam paḌ jaa.e
yaar to ḳhair sabhī kūfiyoñ jaise haiñ magar
bhaa.ī aise haiñ ki qābīl bhī kam paḌ jaa.e
mere jugnū tū kahāñ tak ise raushan karegā
is siyah raat meñ qindīl bhī kam paḌ jaa.e
chāñdnī raat vo aa jaa.e sar-e-bām agar
chāñd se nuur kī tarsīl bhī kam paḌ jaa.e
āyat-e-‘ishq kā inkār kiyā hai jis ne
aise munkir ko to injīl bhī kam paḌ jaa.e
husn aisa hai ki tafsil bhi kam paD jae
chand ka 'aks bane jhil bhi kam paD jae
muKHtasar 'umr magar KHwahishen itni hain ki bas
‘amr 'ayyar ki zambil bhi kam paD jae
main jo lag jaun sunane tujhe pardes ke dukh
sal do sal ki ta'til bhi kam paD jae
yar to KHair sabhi kufiyon jaise hain magar
bhai aise hain ki qabil bhi kam paD jae
mere jugnu tu kahan tak ise raushan karega
is siyah raat mein qindil bhi kam paD jae
chandni raat wo aa jae sar-e-baam agar
chand se nur ki tarsil bhi kam paD jae
aayat-e-‘ishq ka inkar kiya hai jis ne
aise munkir ko to injil bhi kam paD jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.