Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn ki wo suraten KHwab-e-pareshan ho gain

Saqib Lakhnavi

husn ki wo suraten KHwab-e-pareshan ho gain

Saqib Lakhnavi

MORE BYSaqib Lakhnavi

    husn vo sūrateñ ḳhvāb-e-pareshāñ ho ga.iiñ

    parda-e-dil meñ lagā kar aag pinhāñ ho ga.iiñ

    miT ke bhī ā.īna-e-ruḳhsār-e-ḳhūbāñ ho ga.iiñ

    ḳhūn-e-ahl-e-ishq būñdeñ gulistāñ ho ga.iiñ

    chhup ga.iiñ āñkhoñ se zarroñ meñ numāyāñ ho ga.iiñ

    bastiyāñ ujḌī huī mil kar bayābāñ ho ga.iiñ

    dekhtā kaun aur bujhātā kaun us dil lagī

    haDDiyāñ jal jal ke sham-e-zer-e-dāmāñ ho ga.iiñ

    zindagī meñ kyā mujhe miltī balāoñ se najāt

    jo duā.eñ kiiñ vo sab terī nigahbāñ ho ga.iiñ

    is havā-e-dahr meñ jam.īyat-e-ḳhātir kahāñ

    dil ko jaane do ye zulfeñ kyuuñ pareshāñ ho ga.iiñ

    zo.af baaqī hai koī jis nahīñ pursān-e-hāl

    quvvateñ sab nazr-e-ishq-e-fitna-sāmāñ ho ga.iiñ

    luuT gardūñ ne āḳhir dil saarī kā.enāt

    kuchh tamannā.eñ thiiñ vo bhī vaqf-e-nisyāñ ho ga.iiñ

    dost-dār-e-gul huuñ maiñ kis ne qafas se kah diyā

    mujh ko kar tīliyāñ ḳhār-e-muġhīlāñ ho ga.iiñ

    kam na samjho dahr meñ sarmāya-e-arbāb-e-ġham

    chaar būñdeñ āñsuoñ baḌh ke tūfāñ ho ga.iiñ

    ārzū-e-ālam-e-fānī thā aadam vajūd

    ḳhvāhisheñ thiiñ jo baham ghul-mil ke insāñ ho ga.iiñ

    ḳhānumāñ-barbādiyoñ mujh pe ehsāñ hai ki maiñ

    un zamīnoñ meñ nahīñ jo bas ke vīrāñ ho ga.iiñ

    merī āñkheñ shor thā jin vafā har taraf

    zaḳhm dil meñ paḌte donoñ namak-dāñ ho ga.iiñ

    uqda-hā-e-ġham se vābasta hai apnī zindagī

    ham kahāñ ye mushkileñ jis vaqt āsāñ ho ga.iiñ

    maiñ nisār-e-dast-e-qātil mar ke zinda ho gayā

    ḳhanjar-o-shamshīr dhāreñ rag-e-jāñ ho ga.iiñ

    ik sarāb-e-dasht thiiñ fasleñ shabāb-e-husn

    dekhte dekhte āñkhoñ se pinhāñ ho ga.iiñ

    kyā vafādāroñ ke Duube haiñ josh-e-ishq meñ

    kashtiyāñ dil hazāroñ nazr-e-tūfāñ tūfāñ ga.iiñ

    majma-e-ahbāb rūdād 'sāqib' kyā kahūñ

    ab vo aglī sohbateñ ḳhvāb-e-pareshāñ ho ga.iiñ

    husn ki wo suraten KHwab-e-pareshan ho gain

    parda-e-dil mein laga kar aag pinhan ho gain

    miT ke bhi aaina-e-ruKHsar-e-KHuban ho gain

    KHun-e-ahl-e-ishq ki bunden gulistan ho gain

    chhup gain aankhon se zarron mein numayan ho gain

    bastiyan ujDi hui mil kar bayaban ho gain

    dekhta kaun aur bujhata kaun us dil ki lagi

    haDDiyan jal jal ke sham-e-zer-e-daman ho gain

    zindagi mein kya mujhe milti balaon se najat

    jo duaen kin wo sab teri nigahban ho gain

    is hawa-e-dahr mein jamiyat-e-KHatir kahan

    dil ko jaane do ye zulfen kyun pareshan ho gain

    zoaf baqi hai koi jis ka nahin pursan-e-haal

    quwwaten sab nazr-e-ishq-e-fitna-saman ho gain

    luT li gardun ne aaKHir dil ki sari kaenat

    kuchh tamannaen thin wo bhi waqf-e-nisyan ho gain

    dost-dar-e-gul hun main kis ne qafas se kah diya

    mujh ko pa kar tiliyan KHar-e-mughilan ho gain

    kam na samjho dahr mein sarmaya-e-arbab-e-gham

    chaar bunden aansuon ki baDh ke tufan ho gain

    aarzu-e-alam-e-fani tha aadam ka wajud

    KHwahishen thin jo baham ghul-mil ke insan ho gain

    KHanuman-barbaadiyon ka mujh pe ehsan hai ki main

    un zaminon mein nahin jo bas ke viran ho gain

    meri aankhen shor tha jin ki wafa ka har taraf

    zaKHm dil mein paDte hi donon namak-dan ho gain

    uqda-ha-e-gham se wabasta hai apni zindagi

    hum kahan ye mushkilen jis waqt aasan ho gain

    main nisar-e-dast-e-qatil mar ke zinda ho gaya

    KHanjar-o-shamshir ki dhaaren rag-e-jaan ho gain

    ek sarab-e-dasht thin faslen shabab-e-husn ki

    dekhte hi dekhte aankhon se pinhan ho gain

    kya wafadaron ke ji Dube hain josh-e-ishq mein

    kashtiyan dil ki hazaron nazr-e-tufan tufan gain

    majma-e-ahbab ki rudad 'saqib' kya kahun

    ab wo agli sohbaten KHwab-e-pareshan ho gain

    Source:

    Deewan-e-Saqib (Pg. 223)

    • Author: Mirza Zakir Husain Qazlibaas Saqib Lucknowvi
      • Edition: 1998
      • Publisher: Urdu Acadami U.P.
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now