husn par hai KHub-ruyan mein wafa ki KHu nahin
husn par hai ḳhūb-rūyāñ meñ vafā kī ḳhū nahīñ
phuul haiñ ye sab pa in phūloñ meñ hargiz bū nahīñ
husn hai ḳhūbī hai sab tujh meñ pa ik ulfat nahīñ
aur sab kuchh hai pa jo ham chāhte haiñ so nahīñ
ghar ujālā tum kuuñ karnā ho agar ehsān kā
to diyā jo kuchh ke ho phir naam us kā lo nahīñ
baat jo ham chāhte haiñ so to hai tum meñ sajan
be-dahan kahte haiñ tū kyā Dar ki tum ko go nahīñ
'ābrū' hai us kuuñ kyūñ-kar is tarah kā jāniye
tum to kahte ho par aisā kaam us siiñ ho nahīñ
husn par hai KHub-ruyan mein wafa ki KHu nahin
phul hain ye sab pa in phulon mein hargiz bu nahin
husn hai KHubi hai sab tujh mein pa ek ulfat nahin
aur sab kuchh hai pa jo hum chahte hain so nahin
ghar ujala tum kun karna ho agar ehsan ka
to diya jo kuchh ke ho phir nam us ka lo nahin
baat jo hum chahte hain so to hai tum mein sajan
be-dahan kahte hain tu kya Dar ki tum ko go nahin
'abru' hai us kun kyun-kar is tarah ka jaaniye
tum to kahte ho par aisa kaam us sin ho nahin
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 206)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.