hun be-qarar magar ye bata nahin sakta
huuñ be-qarār magar ye batā nahīñ saktā
maiñ baañT kar bhī alam ko ghaTā nahīñ saktā
ye sirf saal nahīñ biitā kaise samjhā.ūñ
maiñ jashn chaah ke bhī ab manā nahīñ saktā
use kaho ki nazar se nazar milā.e nahīñ
maiñ ashk aur ziyāda chhupā nahīñ saktā
maiñ rahm ḳhud pe zarā bhī barat.tā huuñ nahīñ par
maiñ aur kisī kā kabhī dil dukhā nahīñ saktā
lagī hai siine meñ kuchh aag aisī ab ke 'haresh'
maiñ jaan de ke bhī is ko bujhā nahīñ saktā
hun be-qarar magar ye bata nahin sakta
main banT kar bhi alam ko ghaTa nahin sakta
ye sirf sal nahin bita kaise samjhaun
main jashn chah ke bhi ab mana nahin sakta
use kaho ki nazar se nazar milae nahin
main ashk aur ziyaada chhupa nahin sakta
main rahm KHud pe zara bhi baratta hun nahin par
main aur kisi ka kabhi dil dukha nahin sakta
lagi hai sine mein kuchh aag aisi ab ke 'haresh'
main jaan de ke bhi is ko bujha nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.