aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

idrak hi muhaal hai KHwab-o-KHayal ka

Sabeela Inam Siddiqui

idrak hi muhaal hai KHwab-o-KHayal ka

Sabeela Inam Siddiqui

MORE BYSabeela Inam Siddiqui

    idrāk muhāl hai ḳhvāb-o-ḳhayāl

    dil ke varaq pe 'aks hai us ke jamāl

    rotī nahīñ huuñ maiñ kabhī duniyā ke sāmne

    rakhtī huuñ hausla maiñ nihāyat kamāl

    haiñ marhale 'ajīb ye ishq-o-ḳhirad ke bhī

    lamhoñ meñ kar rahī huuñ safar māh-o-sāl

    darvesh hai koī to qalandar valī koī

    bandoñ ne paayā 'ishq meñ rutba kamāl

    itne sukūñ se maiñ ne kiyā 'ishq safar

    aayā nahīñ gumān kisī ehtimāl

    kaisā 'ajīb daur hai maujūda daur bhī

    mafhūm koī samjhe na dil ke savāl

    dam ghuT rahā ho jab mirā apne vajūd meñ

    kyā ḳhaak tazkira ho firāq-o-visāl

    kartī nahīñ 'sabīla' gila maiñ ye soch kar

    sāthī nahīñ yahāñ koī ranj-o-malāl

    idrak hi muhaal hai KHwab-o-KHayal ka

    dil ke waraq pe 'aks hai us ke jamal ka

    roti nahin hun main kabhi duniya ke samne

    rakhti hun hausla main nihayat kamal ka

    hain marhale 'ajib ye ishq-o-KHirad ke bhi

    lamhon mein kar rahi hun safar mah-o-sal ka

    darwesh hai koi to qalandar wali koi

    bandon ne paya 'ishq mein rutba kamal ka

    itne sukun se main ne kiya 'ishq ka safar

    aaya nahin guman kisi ehtimal ka

    kaisa 'ajib daur hai maujuda daur bhi

    mafhum koi samjhe na dil ke sawal ka

    dam ghuT raha ho jab mera apne wajud mein

    kya KHak tazkira ho firaq-o-visal ka

    karti nahin 'sabila' gila main ye soch kar

    sathi nahin yahan koi ranj-o-malal ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now